Facebook account hack hone se kaise bachaye

Facebook account hack hone se kaise bachaye

Hello dosto aj is post me facebook Account hack hone se kaise bachaye iske bare me bata raha hu


Facebook ek bohot achha social media place hai or yaha par ham apne bohot se friends se connected rehte hai or apni personal information bhi apne account me add kar dete hai.


Facebook account ko bohot log hack karna chahte hai taki apki personal information nikal sake ya fir apke account ka galat use kar sakte hai aagar yesa hota hai to ap problem me pad sakte hai is liye facebook account or apne other accounts ki security ka sabse jada dhyan rakhna chahiye.

Facebook me kuchh yese features available hai jinki madad se ham apne account ki security ko kafi strong kar sakte hai jisse hamara account koi aasani se hack nahi kar payega vese bhi social media accounts ko hack karna itna bhi aasan kam nahi hai par fir bhi ap apne account ki security ka achhe se dhyan jarur rakhe

     Facebook page auto reply start kese kare

Facebook account security ki bat kare to facebook apne users ki security ka bohot achha dhyan rakhta hai bas hame apne account security ka thoda dhyan rakhna hoga uske bad ham apne account ko kafi strong bana sakte hai jise hach karna aasan kam nahi hoga

Facebook account hack hone se kaise bachaye -

Facebook account ki security badhane ke liye ham apne account me two step verification or login alert start kar sakte hai jiski madad se hamare account ki security bohot jada badh jayegi

Start two step verification -

Two step verification ko two-factor authentication bhi kehte hai is feature ka use karne par jab bhi hamara account other device me open hoga fully login hone se pehle facebook me register mobile number me ek pin code aayega pin add karne ke bad hi facebook me fully login ho payenge.

1. Sabse pehle ap apna facebook account open kare

2. Ab ap yaha par account settings par jaye


3. Account settings open ho jane ke bad ap yaha par security and login par click kare


4. Ab ap yaha par "Setting Up Extra Security" section par jaye or yaha two-factor authentication par click kare


5. Ab yaha par two-factor authentication option ke aage bale check box par tick (√) kare


6. Uske bad apse apni facebook id ka password dalne ko bola jayega ap yaha par apna password add kare or Continue par click kare

7. Ab ap yaha par start setup par click kare


8. Ab apko yaha par facebook me add mobile number dikhai dega ap yadi mobile no. Thik hai or mobile no. Chalu hai to ap Continue par click kare


9. Ab apke register mobile number me facebook se ek msg aayega jisme ek pin code hoga pin code ko yaha par add kare or Continue par click kare


10. Ab apke Facebook account par two-factor authentication start ho gaya hai ap yaha par Close par click kare


11. Ab ap koi other browser (chrome, opera, uc etc) open kare or facebook.com open kare

12. Ab ap yaha par apna Facebook account login id or password add kare or login par click kare

       Facebook messenger me secret chat kese kare

13. Ab next page me apse login code enter karne ko bola jayega yadi apke mobile no. Par code aagaya hai to code add kare yadi nahi aaya hai to Having trouble? Par click kare


14. Ab ap yaha par Send me a text message with my login code par click kare or uske bad Continue par click kare


15. Ab facebook me register apka mobile number me message aajayega msg me aaya hua code ap yaha type kare or Submit Code par click kare


16. Ab ap apne facebook account me successfully login ho jayenge

Is type se ham apne Facebook account me two-factor authentication (two step verification) start kar sakte hai or apne facebook account ki security badha sakte hai or apni id ko hack hone se bacha sakte hai.

Start login alert -

Login alerts ke bare me to ap jante hi honge facebook ke login alerts feature ki madad se Facebook account login hone par hame alert mil jata hai yadi hamara account kahi or login hota hai to hame login alert mil jata hai or usse ham apne account me fast action le sakte hai or apne account me jaldi jaldi changes kar sakte hai


Facebook ka login alert feature bohot hi achha hai ye feature ko me khud bhi use karta hu facebook me hame 2 type ke login alert mil jate hai

1. Notification login alert

2. Email login alert

In dono login alert me se ham chahe to kisi ek ka use kar sakte hai or chahe to dono alert ka use kar sakte hai jisse jab bhi hamara account kahi par login ho hamare pas notification alert or email alert dono aajaye.

Start Notification Login Alert -
Facebook login alert feature enable karne par jab bhi hamara account kahi bhi login hota hai hamare pehle se login account me ek notification aajata hai jisse hane turant hi pata chal jata hai ki hamara account kahi or login hua hai

Facebook account me notification login alert kya hai or Facebook account me notification login alert start kese karte hai iske liye mene pehle se hi post likh chuka hu ap yaha par click kar ke post read kar sakte hai Facebook account me login alert start kese kare

Start Email Login Alert - 
Email login alert feature enable karne par hamara account jab bhi kahi bhi login hoga hamare register email id par facebook account login alert ka ek mail aajayega jisse hame pata chal jata hai ki hamara account kahi or login hua hai

Facebook me Email login alert kya hai or Email login alert start kaise karte hai iske liye mene pehle hi post likh chuka hu ap yaha par click kar ke post read kar sakte hai facebook account me email login alert start kese kare

Extra security tips -
Apne social media accounts or others account ko secure rakhne ke liye hamare pas kuchh extra security tips hona bohot jaruri hai yadi apke pas nahi hai to don't worry me apko aj is post me extra security tips bhi bata raha hu

1. Apna password har 3 month ya fir 6 month me change karte rahe

2. Apna password kisi se bhi share na kare

3. Apni Facebook id or password massage me na share kare

4. Har kisi ki request accept na kare

5. Kisi bhi link par click kar ke apni login id or password add na kare

6. Hamesha strong password set kare

7. Hamesa password me character, number or symbol ka use jarur kare
Example - Rk@#$1234


Ye kuchh extra security tips hai jinki madad se ham apne account ko hack hone se bacha sakte hai kyonki jada account users ki galtiyo se hi aasani se hack ho jate hai to ap apne account ki security hamesa strong rakhe.

Is type se ham apne Facebook account ki security ko strong kar sakte hai or apne account ko hack hone se bacha sakte hai ummid hai apko ye post pasand jarur aayi hogi yadi apko post pasand aayi to share jarur kare

      Facebook account block hone se kese bachaye

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

  1. Bhai jo friendlist m nhi h vo b post pr cmnt .Krte h to m ye band krna chata hu

    ReplyDelete
  2. Ap facebook app me apni id open karna or uske bad account settings par jana yaha par apko ek option dikhai dega public posts is option par click karke ap comments public posts section me jakar friends of friends select kar dena
    Problem solve ho jayegi.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock