Google account secure kaise rakhe

Google account secure kaise rakhe

Hello friends aj is post me google account (Gmail id) secure kaise rakhe uske bare me bata raha hu. 


Google account aj kal sabhi ke liye bohot jada important ho gaya hai lagbhag sabhi ke pas google account jarur hota hai, or lagbhag hamare sabhi online accounts Google account se connected hote hai yese me hame apne account ki security me or jada dhyan dena bohot jaruri ho jata hai. 


Yadi dhoke se hamara google account hack ho jata hai to hamare Google account se connected sabhi accounts bhi hack ho jate hai jese, blogger, adsense, gmail, drive, YouTube etc. To ham kabhi nahi chahenge ki hamare sath kabhi yesa ho, aj me apko kuch achhi tips dene bala hu jiski madad se ap apne account ki security badha payenge. 


Jada tar online account users ki galti ke karan hi hack ho jate hai, kyonki user galti karte hai or apne account ki security ka dhyan nahi rakhte hai or hackers ko moka dete hai aasani se hack hone ka, yadi ham apne account ki security ka achhe tarike se dhyan rakhe to ham apne accounts ko hack hone se bacha sakte hai. 


Apne google account ki security badhane ke liye google account me bohot sare option available hai jinka use kar ke ham security increase kar sakte hai or sath hi hame apne account ki extra security ka thoda knowledge jarur hona chahiye.

Gmail account hack hone se kaise bachaye -

Apne google account (gmail) hack hone se bachane ke liye ap aage bataye gaye tips ko follow kare jiski madad se ap apne account ki security kafi had tak badha payenge. 

1.strong  password -
Friends apne gmail (google) account me hamesha strong password set kare jab bhi first password dalte ho ya old password ko change karte hai to apna password kuchh is tarah rakhe jese 968563@reetes ya reet998137@ apna password  kuch is tarah se set kare.


Numeric, character or symbol mix password kafi had tak strong ho jata hai, kabhi bhi  apne kareebi log ka mobile no. password me na rakhe hecker pehle mobile no. or name se hi passward dal kar check kar sakte hai ap in bato ka dhyan rakh kar apne password ko kafi strong kar sakte hai

2. password not share -
apna passward ko kisi other ke sath share na kare jese ham kabhi kabhi apne kisi kam se ya koi othor kam me apne karibi logo ko apna password social media me msg me bhej dete h jisse hamara password ka galat use bhi kiya ja akta h hame apna password sirf unhe hi send karna chahiye jin par hame kuchh jada hi bharosa hota h or koi other ko na de jisse apke password ki jankari hamare bad or kisi ko nahi hoti.

3. change password - 
apne account ka password ko change karte rehna chahiye apne password ko har 6 month ya har 3 month me change karte rehna chhahiye or password master ka bhi use kar sakte hai

4. start 2-step verification -
Apne account me two step verification start kare isse jab bhi apka account kahi or login hoga account login hone se pehle apke register mobile number me ek pin code ayega us code ko add karne ke bad hi apke google account ne enter kar payenge. 

5. Add recovery phone number -
Apne account me recovery phone number jarur add kare isse apke account ko recover karne me bohot jada madad milegi


6. Add recovery email -
Recovery email id se ham apne account me ek or recovery option badha sakte hai, or recovery email id add karne se jab bhi hamara account login hota hai to add ki gayi recovery email id me hame alert mail mil jata hai. 

7. Logout your account other device -
Yadi ap apne account ko kisi other device me open kare to kam ho jane ke bad hamesha apne account ko logout jarur kare. 

8. Not use public Wi-Fi - 
Friends public Wi-Fi ka use na kare yadi kabhi karna bhi hua to apna koi bhi account ko open na kare yadi ap apna email id or passsword public Wi-Fi use karte time add karoge to apki sabhi information unke pass chali jayegi jiss hamara account hack ho sakta hai.

9. Not click fake (spam) link -
Kisi type ki fake (spam) link par click kar ke apne account ko login na kare, is bhi link se ap login karoge pehle confirm kar le ki apne jis link par visit kiye hai vo link read (original) link hai ya nahi uske bad hi login kare. 


In sabhi tips ko follow kar ke ham apne accounts ki security ko badha sakte hai or apne google account ko hacking se bacha sakte hai, ummid karta hu apko ye post pasand aayi hogi. 


Friends kesi lagi post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye.... 

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock