Mobile ads block kaise kare

Mobile ads block kaise kare

Hello friends aj is post me apne android mobile me ads block kaise karte hai iske bare me bata raha hu.


Android mobile me aksar ads aate rehte hai jab bhi ham apme mobile me internet on karte hai to hamare mobile me bohot sare ads ke notification aa jate hai, or kabhi kabhi to yesa bhi hota hai jab ham mobile me kuchh work karte hai to ads ka pop-up ajata hai jo full screen par hota hai.


Mobile company advertising se pese kamane ke liye mobile me ads bhejti rehti hai jisse users ko bohot paresani hoti hai or sabhi users mobile me ane bale pop-up ads or notification me aane bale ads ko band karna chahte hai jisse unke pas bar bar ads nahi aayenge.

      Mobile se zip file unzip kese kare

Yadi ap bhi apne android mobile me ads block karna chahte hai to ap aasani se mobile me aane bale ads ko block kar sakte hai par mobile me aane bale ads ko block karne ke liye apka mobile rooted hona chahiye root mobile me ham aasani se ads ko block kar sakte hai.


Android mobile se ads ko block karne ke liye apko apna mobile root karna hoga ya rooted mobile hona chahiye, android mobile root kaise karte hai iske liye mene pehle hi post likh chuka hu yadi ap apna mobile root karna chahte hai to is post ki madad se ap apna mobile ko root kar sakte hai.

Android mobile ko root karne ke bad ham apne mobile se aasani se ads ko block kar sakte hai uske bad fir hame notification me or home screen par ads nahi dikhai denge ham un ads ko puri tarah se disable kar sakte hai.

Mobile se ads block kaise kare -

Apne android mobile se ads block karne ke liye ap aage bataye gaye sabhi sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi apne mobile se ads block jarur kar payenge.

1. Sabse pehle ap apne rooted mobile me internet se lucky patcher app download or install kare.

2. Ab ap lucky putcher app ko open kare.

      Mp3 song me pic add kese kare

3. Lucky patcher app open karne ke bad ap yaha apne mobile ke sabhi app ka loading hone ka wait kare.


4. ab ap lucky patcher app ko root access ko allow kare.

5. ab yaha par niche side me toolbox par click kare.


6. Yaha par apko kuchh option dikhai denge ap block ad par click kare.


7. ab apko screen par 4 option dikhai denge.

8. ab yaha par ap block ads on device par click kare.


9. ab yaha par kuchh der ke liye screen par processing chalegi ap processing complete hone ka wait  kare.


10. processing complete hone ke bad ap fir se app ki main screen par aa jayenge.

11. Ab apke mobile se ads successfully block ho gaye hai.

      Mobile root karne ke bad kya kare

Is type se ham apne android mobile ke ads ko block kar sakte hai or bar bar aane bale ads se bach sakte hai, is process ko complete karne ke bad apke mobile notifications me ads notification nahi aayenge.

Note -
Friends is process se sirf apke mobile me notification me aane bale ads or home screen par aane bale ads hi block honge, yadi ap apne mobile me koi app use karte hai or yadi us app me ads lage huye hai to apko ads bhi show honge.

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

  1. Beautiful and very helpful.. Thanks for sharing this article with us.

    ReplyDelete
  2. Bhai bahut badhiya article likha hai.. Mujhe ads ne bahut pareshaan kiya tha.. Thanks bro

    ReplyDelete
  3. nice information sir thanks for this article

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock