user apps ka backup kaise banaye

user apps ka backup kaise banaye

Hello dosto aj is post me sabhi user apps ka backup sd card me kese lete hai iske bare me bata raha hu


Hamare amdroid mobile me 2 type ke apps hote hai users apps or system apps users apps bo apps hote hai jinko ham install karte hai or kabhi bhi uninstall bhi kar dakte hai or system apps vo apps hote hai jo mobile ke sath aate hai or ham un apps ko delete nahi kar sakte hai


Users app ko ham download kar ke install karte hai kabhi kabhi apps ko delete bhi karna hota hai par yadi un apps ki fir se jarurat pad jati hai to fir se app ko download karna padta hai yese me apps ko download karne me data use ho jata hai

       Internet me contact no. save kese kare

Apps ko uninstall karne se pehle ham apps ka backup bana sakte hai or jin apps ko uninstall karna hai un apps ka backup sd kard me rakh sakte hai or jab app ki jarurat pade to apps ko memory card me liye gaye backup se fir se install kar ke use kar sakte hai

Apps ka backup banana kar rakhne se hame apps ko bar bar download karne ki jarurat nahi padti hai or isse ham apne data ki bhi bachat kar sakte hai to chaliye dosto start karte hai or apne users apps ka backup banate hai

Sabhi user app ka backup kese banaye -

Apne Android mobile ke users apps ka backup banane ke liye ap aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi backup jarur bana payenge.

1. Sabse pehle ap Google play store se clean master app dawnload or install kare


2. Ab mobile ke app menu me jaye or clean master par click kare


3. First time clean master open karne par apko start karne ko bola jayega aap start par click kare


4. Clean master app open ho jane ke ap yaha par app manager par click kare


5. Ab jis ap ka backup banana h us ke age tick kare or backup par click kare


6. Ab ap yaha par ok par click kare


7. Isi type se ap or other apps ka backup bana sakte hai


8. ab ap file manager me jakar check kar sakte h apke phone me clean master name ka new folder ban chuka h vahi par apko apka backup banaya hua app mil jayega


Is type se ham apne mobile ke users apps ka backup bana sakte hai or jarurat padne par use bhi kar sakte hai, apps ka backup bana kar bar bar app downloading me lagne bala data ko bacha sakte hai

Note -
Friends clean master app me new new update aate rehte hai jisse ho sakta hai features alag alag ya or kahi bhi ho sakte hai

Friends kesi lagi post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye... 

Post a Comment

1 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.