Kisi bhi app se ads block kaise kare
Hello friends aj is post me kisi bhi android app se ads block kaise karte hai iske bare me bata raha hu.Apne mobile me jab ham kuchh apps ka use karte hai to un apps me bohot sare ads bar bar show hote hai kyonki jo bhi us app ko create karte hai, app se pese kamane ke liye app me ads laga dede hai jisse jab bhi koi user app use karte hai to unko ads dikhai dete hai.
Hamare mobile me kuchh apps yese bhi hote hai jin par bohot jada ads hote hai or bar bar show hote hai banner and pop-up to jo bhi users in apps ko use karte hai ads se bohot jada paresan ho jate hai or in ads ko block (disable) karna chahte hai, jisse unko ads na dikhai de.
Mobile ads block kaise kare
Kuchh apps yese bhi hote hai jinse ads ko remove karne ke liye hame apps ko play store se buy (purchase) karna padta hai uske liye hame pese dena hota hai jisse hame without ads ke app mil jata hai fir us apps me ads show nahi hote hai.
Without ads app ko sabhi log purchase nahi kar pate hai is liye koi yesa rasta dhundte hai jiski madad se khud hi ads ko block kar sake to me apko batana chahunga ham khud bhi lucky patcher app ki madad se apps se ads ko block kar sakte hai.
App se ads ko block karne ke liye hamare pas rooted mobile hona chahiye ya app se ads ko block karne ke liye hame apne mobile ko root karna hoga uske bad hi ham apne mobile ke apps se ads ko block kar sakte hai without rooted mobile me ye trick work nahi karti hai.
Android mobile speed kaise badhaye
Rooted mobile me ham lucky patcher app ki madad se aasani se apps se ads ko block (disable) kar sakte hai, or uske liye hame apps ko purchase karne ki bhi jarurat nahi padti hai to chaliye friends start karte hai or jante hai kese apps se ads block kar sakte hai.
Mobile app se ads block kaise kare -
Apne android mobile ke apps se ads block karne ke liye ap aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi apne mobile ke app se ads block jarur kar payenge.
1. sabse pehle ap internet se lucky patcher app dawnload or install kare.
Best offline or online android mobile games
2. lucky patcher app install ho jane ke bad ap app ko open kare.
3. ab yaha par apke apps package loading hone ka wait kare.
4. ab ap lucky patcher app ko root access ko allow kare.
5. ab yaha par apko apne mobile ke sabhi app dikhai denge ab apko jis app se ads ko remove karna hai us app par click kare.
6. ab yaha par open menu of patches par click kare.
7. yaha par remove google ads par click kare
8. Ab ap patch to remove google ads par click kare.
9. yaha par apko apply par click karna hai.
10. ab kuchh der patching process chalegi to thoda wait kare.
11. ab patching process end hone ke bad apko screen 2 option dikhai. Denge Launch or Ok ab ap launch par click karoge to app open ho jayega or ok par click karoge to ap back ho jaoge.
12. Ab ap jis app se ads block karna chahte the us app se ads remove ho gaye gai.
Android mobile app kaise banaye
Is type se ham apne mobile ke apps se ads ko remove kar sakte hai or apps ko without ads ke use kar sakte hai is process se ap jis app ke ads block (disable) karenge uske bad apko app me ads nahi dikhai denge.
Note -
Friends is process se ham mobile ke apps se ads to block kar sakte hai but me apko ek bat or batana chahunga kuchh apps me ye trick work nahi karti hai kehne ka matlav hai is process se kuchh apps ke ads block ho jate hai or kuchh yese bhi apps hote hai jinse ads block nahi hote hai.
Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....
Maine jis app ko use kiya tha usey mai removed kar diya hu ab o app bhi nahi mil raha hai play store me aur ad bar bar ata rahta hai full screen par Mai tang aa gaya hu please help me
ReplyDeleteHa google play store se Remove ho gaya hai ap internet se download kar lijiye mil jayega .
ReplyDelete