Mobile banking se recharge kaise kare

Mobile banking se recharge kaise kare

Hello friends aj is post me mobile banking se recharge kaise karte hai iske bare me bata raha hu.


Online mobile recharge karna bohot aasan hai or isse bohot fast mobile recharge kar sakte hai, online mobile recharge karne ke liye ham ATM CARD, NET BANKING or MOBILE BANKING ka use kar sakte hai or apne mobile ko recharge kar sakte hai.


Mobile banking se recharge karna bohot aasan hai yadi hamare Bank account me balance hai to ham mobile banking se apne mobile ko kabhi bhi or kahi bhi recharge kar sakte hai, mobile banking se recharge karne ya other transaction karne ke liye sabse important hai ki hamare bank account me mobile banking start ho yadi mobile banking start hai to ham recharge kar sakte hai.

        Mobile banking kese use kare

hamare sath kabhi kabhi yesa hota hai ki ham yesi jagah par hote hai jaha par network problem hoti hai jisse net bhi bohot slow hota hai or net banking ka use nahi kar pate par yese me yadi hamare pas mobile banking hai to mobile banking se slow network or 2g network me bhi fast recharge kar sakte hai to chaliye friends start karte hai.

Mobile banking se recharge kaise kare -

Mobile banking se mobile number recharge karne ke liye aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi mobile banking se recharge jarur kar payenge.

Friends me yaha apko batana chahunga ki me yaha par vijaya bank mobile banking se recharge karna bata raha hu yadi ap kisi other bank ke mobile banking use kare rahe hai to ho sakta hai kuchh features alag ho is liye ap confuse nahi hona.

1. Sabse pehle apne mobile me mobile banking ke icon par click kare.

      Mobile banking mpin or login password kese change kare

2. Yaha par apna login password type kare.


3. Ab yaha par payment par click kare.


4. Ab yaha par ap recharge par click kare.


5. Ab yaha par apko apka account no. Dikhai dega uspar click kare.


6. Ab yaha par ap apna Mpin dale or ok par click kare.


7. Yaha par apko 3 option dikhai denge mobile recharge, DTH recharge, data card recharge apko yaha par mobile recharge par click karna hai.


8. Ab ap new recharge par click kare.

9. Ab yaha par operator search karna h apki sim jis company ki hai yaha par company ka name dale or ok par click kare.

10. Yaha par mobile no. Dale iske bad jitne ka recharge karna hai amount dale fir nickname dale nickname me ap 3 word ka kuchh bhi dal sakte ho uske bad ok par click kare.


11. Yaha par sabhi details ko ek bar fir se check kare thik se hai ya nahi yadi sab thik ho to confirm me click kare.



12. Ab apki screen me Recharge Done ka massage show hoga recharged successfully ka.


13. Ab apka mobile number successfully recharge ho gaya hai.


Is type se ham mobile banking ka use kar ke apne mobile number ko kabhi bhi or kahi bhi recharge kar sakte hai, friends post google+, whatsapp, Facebook me share jarur kare.

Note -
Friends mobile banking se ham port kiye gaye no. Par recharge nahi kar sakte fir bhi ap try kar sakte hai par vijaya bank ke mobile banking se port ki gayi sim ya no. Me recharge nahi hota.

       Mobile banking se pese transfer kese kare

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur jarunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye.....

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock