Facebook page ka username change kaise kare

Facebook page ka username change kaise kare

Hello friends aj is post me Facebook page ka username change kaise karte hai iske bare me bata raha hu.


Facebook ek bohot hi popular social network hai yaha ham hamare sabhi friends se connected rehte hai or yadi hamara koi business hai ya website hai to ham facebook me apne business or website ko promote karne ke liye facebook page create karte hai or facebook page ki madad se aasani se apne business or website ko promote kar sakte hai.


Facebook profile banate time hame ek default username milta hai or bad me ham profile ka username change kar ke apni pasand ka username set kar sakte hai, usi type se facebook page create karne par hame hamara Facebook page ka ek default username provide kiya jata hai jise ham change karke apni pasand ka username set kar sakte hai.

Facebook page ka jo default username hota hai kuchh is type ka hota hai https:// www.facebook.com/0987654321123/ is type ka username bohot jada hard hota hai or ise yad karna bhi bohot muskil hota hai or jab bhi hame facebook page ko share karna hota hai to page open kar ke bar bar page url ko copy karna padta hai.

      Facebook friend block or unblock kaise kare

Facebook page ka default username ko ham kabhi bhi change kar sakte hai or apni pasand ka custom username set kar sakte hai custom username kuchh is type se ho sakta hai https://www.facebook.com/reetesh is type ke custom url ko yad karna aasan hota hai or kahi bhi aasani se share bhi kar sakte hai.

Facebook page ka username change kaise kare -

Apne facebook page ka username change karne ke liye aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi apne page ka username jarur change kar payenge.

1. Sabse pehle ap Chrome Browser apni Facebook id open kare kare.


2. Ab ap yaha par apna facebook page open kare.

       Block facebook account unblock kaise kare

3. Page open hone ke bad apke page Name ke niche @username dikhai dega iska matlav apne username set nahi kiye hai.


4. Ab ap yaha par More par click kare.

5. More par click karne ke bad apko kuchh option dikhai denge ap Edit Page par click kare.


6. Ab ap yaha par + change page @username par click kare.


6. Ab yaha par pehle se jo bhi user name ho usko delete karde yadi nahi ho to ap apni pasand ka username type kare.

      Facebook account hack hone se kaise bachaye

7. Ab apke type username ke age searching chalegi yadi apka dala hua user name available hoga to user name ke age right (√) ka icon ajayega matlab apka username available h yadi nahi aya to ap koi other username check kare.

8. Ab ap yaha par Create Username par click kare.


9. Yaha par apko apka username dikhai dega ap Ok par click kare.


10. Ap ap apne page Name ke niche check kare apko apke page ka username dikhai dega.


11. Ab apke Facebook page ka username successfully create ho gaya hai.


12. Ab ap www.facebook.com ke bad /username laga kar apne page ka username kahi bhi aasani se share kar sakte hai www.facebook.com/reetesh99

Is type se ham apne facebook page ka username change kar sakte hai or apni pasand ka custom url set kar sakte hai, Facebook page ka username change karne ke bad ab ham apne facebook page ka username ko aasani se apne friends se share kar sakte hai or apne page ke likes or followers badha sakte hai.

       Facebook page auto reply start kese kare

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock