Backlink ke kya fayde hai – benefits of backlink

Backlink ke kya fayde hai – benefits of backlink

Hello friends aj is post me backlink ke kya kya fayde hai iske bare me bata raha hu.

Backlink ke kya fayde hai – benefits of backlink

Yadi ap ek blogger ya website owner hai to ap backlink ke bare me jante hi honge yadi nahi jante to don’t worry mene pichhli post me backlink ke bare me full information share kiya hu ‘’backlink kya hai’’ is post ko read karke ap backlink ke bare me full information le sakte hai.

Ab ap backlink kya hai iske bare me jan gaye hai to ab ham post me aage badhte hai or jante hai ki backlinks hamari website ke liye kitne jaruri hai or backlinks ke kya kya benefits hai.


Backlinks kisi website ko rank karane ke liye bohot important role nibhate hai backlink ki madad se ham apni website ko search engine me fast rank kara sakte hai or apni website me achhi traffic pa sakte hai, kyonki hamari website me ki rank jitna jada rahegi hamari website me utni hi jada search traffic aayegi.

Ek question hamesha bloggers ke man me aata hai jo ki aj me ya par clear kar deta hu aksar bohot se bloggers ke man me aata hai ki kya ham apni website ko bina backlink ke rank kara sakte hai to me apse yaha par kehna chahunga ki ranking kisi ek factor par depend nahi hai ham apne blog or website ko without backlink bhi rank kar sakte hai par iske liye hame kafi mehnat karni padegi or baki sabhi seo factor me achhe se dhyan dena hoga par yadi hamare pass high quality backlinks hai to ham apni website ko jaldi se rank kara sakte hai.

      Backlink kaise banaye - best way to increase backlink

Ab ap ye to jan hi gaye hai ki backlinks se website or blog ko fast rank kar sakte hai par me apko ek bat or batana chahunga ki backlink ka hamari site me positive or negative dono type ke effect pad sakte hai to chaliye dosto jante hai  kab kab positive effect padenge or kab kab negative effect padenge.

Backlink ke positive effect –
Positive effect yese effect hote hai jo hamari website ke liye achhe hote hai or positive effect se hamari website ki ranking increase hoti hai, backlink ke positive effect ke liye hame apni website ke liye high quality backlink create karna hota hai jisse hamari site ki ranking badhti hai.

Backlink ke negative effect –
Negative effect yese effect hote hai jo hamari website me bura aasar karte hai is type ke effect se hamari website ki ranking down hoti hai or koi bhi blogger ye nahi chahta ki unki website ki ranking down ho jaye, backlink ke negative effect tab padte hai jab ham low quality backlink bana lete hai.


Ab ap samjh hi gaye honge ki positive or negative effect ke website me kya kya effect padenge me apko yaha ek bat batana chahunga yadi hamari website ko negative effect se bachna hai to hame apni website ke liye high quality backlink create karna hoga high quality backlink hamesha blog ke liye positive hote hai or high quality backlinks hamari site ki ranking ko increase karte hai.

High quality backlinks kya hai –
Mene upar bohot bar high quality backlink ke bare me bola hu to ap bhi janna jarur chahenge ki aakhir high quality backlink hote kese hai, high quality backlinks yese backlinks hote hai jo ham high ranking website se banate hai, yesi website jinka da or pa achha hota hai un website se ham jo backlinks lete hai vo high quality backlinks hote hai.

      Comment se do-follow backlink kaise banaye

High quality or low quality backlink ka me apko ek simple sa example deta hu jisse ap iske bare me or achhe se samjh payenge to chaliye dosto iske bare me jan lete hai.

High quality backlink example –
Man lijiye meri website ka da – 20 or pa – 25 hai or ab yadi  me kisi dusri site jiska da – 40 or pa – 40 hai is website se apne website ke liye backlink banata hu to ye backlink high quality backlink hoga or iska meri website achha yani ki positive effect padega or ranking increase hogi.

Low quality backlink example –
Man lijiye meri website ka da – 20 or pa – 25 hai or ab yadi  me kisi dusri site jiska da – 12 or pa – 15 hai is website se apne website ke liye backlink banata hu to ye backlink low quality backlink hoga or jada low quality backlink hone se meri website me bura yani ki negative effect pad sakta hai.

In example ki madad se ap samjh hi gaye honge ki hamare liye konse website se backlink lena thik rahega me apko fir bhi batana chahunga ki ap jab bhi backlink banaye to apne se jada da or pa bali website se banaye.

Backlink ke fayde –

Backlink ke hamari website me bohot sare fayde hote hai jinke bare me me aage bata raha hu jinko janne ke bad ap bhi backlinks ki taraf jarur dhyan denge to chaliye friends aage badhte hai or jante hai backlink ke kya kya fayde hai.

1. Build page and domain authority –
Higjh quality backlink hamari website ki domain authority (da) or page authority (pa) increase karne me madad hoti hai, high quality backlinks ki madad se ham apni webite ka da or pa fast increase karte hai, website ka da or pa jitna jada rahega website ke liye utna hi achha rahega.


2. Increase ranking –
Backlinks se jab hamare website ka da or pa increase ho jata hai to hamari website ki ranking bhi improve ho jati hai kyonki da pa badhega to ranking bhi increase hogi hi.

3. Referral traffic -
Kisi other website se aane bala referral traffic increase hota hai jitna jada referral clicks milenge utna hi website ke liye bohot achha hota hai.

4. Search traffic (organics traffic) -
Website me high quality backlink rahenge to website ki search rank bhi increase hogi or hamare website ki post search results me jaldi show hogi or pehle show hogi.

5. Build brand popularity –
Ek blogger ke liye brand popularity bohot important hoti hai hamare blog ya website ki jitni popularity hogi hamare blog ko utna hi jada benefits hoga blog jab ham dusri website se backlinks lete hai to hamari website ki popularity build hoti hai jisse or jada log hamare blog or website ke bare me jante hai.

6. Blog promotion (brand promotion) –
Jab ham kisi popular website se backlink banate hai to hamari website ka promotion bhi ho jata hai kyonki jab ham kisi website me guest post karte hai to hamari post padh ke us website me aane bale visitors hamari website ke bare me bhi jan jate hai jisse hamari website ka promotion bhi ho jata hai.

7. Improve seo –
Friends backlinks hamare blog ke seo ko bhi improve karta hai vo kese ye samjhte hai, yadi hamare pas backlink nahi hai or sath hi yadi blog ki rank bhi jada nahi hai to yese me ham jitni bhi seo friendly post kyu na likh le hame utna achha result nahi milega jitna ham chahte hai.

Par yadi hamare blog me high quality backlink hai or blog ki ranking hai to hamari post bhi rank karegi isi liye backlinks hamare blog ka seo bhi improve karte hai.


Friends ye to the kuchh best fayde jo hamari website ko backlink se hote hai to ap bhi backlink topic ko ignore na kare or apni website ke liye high quality backlink build kare jisse apke blog ko bhi backlink ka benefit hoga.

       Low quality backlink remove kaise kare

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock