Youtube channel me playlist kaise banaye

Youtube channel me playlist kaise banaye

Hello friends aj is post me youtube channel me playlist kaise banate hai iske bare me bata raha hu.


Yadi apne pichhli class  (post) miss kar diye hai to jarur read kare yaha par click kare or jane youtube channel verify kese kare ye post jarur padhe or apne youtube channel ko sabse pehle verify kare uske bad other work kare.


Youtube channel me ham playlist ko folder bhi bol sakte hai kyonki playlist ka use bhi folder ke jesa hota hai, ham folder ka use apne computer or mobile me alag alag type ki file alag alag jagah par manage karne ke liye karte hai, jese ki yadi yadi hamare pas new or old 2 type ke songs hai to hame un song ko 2 alag alag folder me add karte hai new song ko new songs folder me or old song ko old songs folder me taki dono type ke song mix na ho isi type se youtube me bhi playlist ka use hota hai.

Playlist ka main use videos ko category or tag wise set karna hota h jese ki man lo me youtube me 2 type ke video upload karta hu 1.Facebook ke bare me or 2.whatsapp ke bare me yadi me dono type ke video upload karta hu to vo sabhi video ek hi me upload hote hai or hamare channel me ek sath dikhai dete hai.


Par yadi me youtube channel me 2 playlist create kar leta hu to 1.facebook or 2.whatsapp ab ham whatsapp ke video whatsapp playlist or Facebook videos facebook playlist me add kar sakta hu, ab jab koi visitors mere youtube channel me aayenge to playlist par click karke apni pasand ki playlist choose kar sakte hai or apne pasand ke videos dekh sakte hai.

        Youtube channel customize kaise kare

Playlists se hamare video viewers ko fayda hota hai playlist ki madad se vo apni pasand ka video asani se dhundh sakte hai ya chahe to playlist hi search kar sakte hai, isse users ko jada time kharab nahi karna padta or apne pasand ke video bhi dekh sakte hai to chaliye friends aage badhte hai or playlist create karte hai.

YouTube channel me playlist create kaise kare - 

Apne youtube channel me playlist create karne ke liye aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi youtube channel me playlist jarur create kar payenge, let’s start.

1. Sabse pehle ap youtube.com open kare or apni gmail id se login kare.

2. Yadi ap ne mobile me YouTube open kiye h to ap browser ko desktop mode me open kare.


3. Ab apko upar right side me profile ka icon dikhai deta hoga ap us profile ke icon par click kijiye.

4. Ab ap creator studio par click kare.


5. Ab left side me apko kuchh option dikhai denge ap video manager par click kare.

       Youtube channel custom url change kaise kare

6. Ab usi ke niche ek option or dikhai dega playlist ka to ap playlist par click kare.


7. Yadi apne pehle koi playlist nahi banaye to apko no playlist wear found dikhai dega or usi ke upar new playlist dikhai degi ap new playlist par click kare.


8. Ab apko yaha par playlist ka name (title) add karna h or yahi par public par click kar ke playlist ki privacy set kar sakte hai.


9. Ab ap create par click kijiye.

10. Ab apki playlist successfully create ho gayi hai.


11. Isi type se ap oor bhi plyaylist create kar sakte hai.

Ab hamare youtube channel me playlist create ho gayi hai ap apne channel me alag alag playlist me alag alag category ke videos upload kar sakte hai.

Youtube playlist me videos add karne ke liye ‘’youtube playlist me videos add kaise kare’’ is post ko read kare or apne videos ko playlist me add kare.

Yadi apne abhi tak ReeHindiTrick facebook page ko like nahi kiye to like kar lijiye kyonki me yesi hi bohot sari new post le       kar ane bala hu or sath me post ko Facebook, google+,twitter me share jarur kare next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

  1. Playlist me video kaise add kare

    ReplyDelete
  2. Bro ap pehle playlist open karna or fir apko right side me add video option dikhai dega baha se ap playlist me video add kar sakte h.

    ReplyDelete
  3. Blogger me blog non hosted kaise banaye...........????

    ReplyDelete
  4. Nahi yesa kuchh nahi hota, blog sirf blog hota hai ye hosted or nonhostet nahi hota

    Ha but adsense account hosted or nonhosted hote hai.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock