PHP kya hai, php ka use kaha hota hai
hello friends aj is post me PHP kya hai or php ka use kaha kaha kiya jata hai iske bare me bata raha hu.Friends yadi ap computer me jada work karte hai ya fir ap computer classes join kiye hai to apne programming language ke bare me to suna hi hoga, bat kare programming language ki to bohot sari programming language hai jese c, c++, java, css, php, and etc in sabhi language ka alag alag role hota hai or aj ham is post me php ke bare me full information lenge.
Php kya hai -
Php ka pura name php: "Hypertext Preprocessor" hai or short me ise php bhi bolte hai, php ek programming language hai, php net par website banane ki ek language hai or php language ko HTML language ke sath jod kar dynamic page banaya ja sakta hai, or php server side script language hai.Php ka use web development ke liye kiya jata hai or php se hi badi badi website design (develop) ki jati hai jo hame aasani se internet me dekhne ko mil jati hai, php server side script language hai iska matlav php language me se banaya gaya program sirf server me hi run hota hai and jab bhi koi users php se bani hui website me visit karte hai to web pages HTML me convert hokar screen par dikhai deta hai jide user aasani se dekh or samjh sakta hai.
WordPress VS Blogger Me Best Platform Konsa Hai
Php ek bohot hi powerful web design language hai or isse badi badi website banayi jati hai php script sirf or sirf server me run hoti hai is liye users sirf kisi website ke HTML or css code ko dekha ja sakta hai php script server me run hoti hai is liye kabhi bhi client system tak nahi pahuch sakte hai.
Php language ka use kab se kiya ja raha hai -
Php programming language ki history ki bat kare to php ka use 1994 se kiya ja raha hai or iska use 1994 me sabse pehle "Rasmus Lerdorf" ne kiya tha.Php language ka use 1994 se kiya ja raha hai or tab se lekar ab tak php programming se lakho website develop (design) ki ja chuki hai, php language ek powerful language hone ke karan badi badi company is par trust karte hai or isi ka use karke website develop karte hai, php language ka use jada tar e-commerce, social media, website development platform jesi badi badi website banane me kiya jata hai.
Benefits and loss of php -
Sabhi programming language ke apne apne alag alag benefit or loss hote hai yese hi php programming me bhi kuchh advantage or disadvantage hai to ham jan lete hai ki is language ko use karne ke kya kya fayde or kya kya nuksan ho sakte hai.
Advantages of php -
Php programming language use karne ke kuchh achhe advantage (fayde) hai jinke bare me yaha par bata raha hu.
1. Php ka syntax bahut aasan hai.
2. Php ek open source programming hai.
Seo friendly post kaise likhe
3. Php ko aasani se sikha ja sakta hai.
4. Php ka speed bahut fast hota hai.
5. Built-in database module use kar ke aasani se database से connection create kiya ja sakta hai.
6. Php ko multiple platforms jese Windows, Linux, Mac etc me use kiya ja sakta hai.
Disadvantages of php -
Php language use karne ke kuchh disadvantages (nuksan) bhi hai jinke bare me yaha bata raha hu.
1. Php open source programming hai is liye code ko koi bhi dekh sakta hai.
2. Php me koi bug ho to koi bhi miss use kar sakta hai.
3. Php me large application develop karma muskil hai.
4. Large application ko manage karna muskil hota hai.
aj hamne is post me php kya hai or php programming language ka use kab se kiya ja raha hai and sath hi sath php language ke advantage or disadvantage ke bare me sikha ummid karta hu apko ye jankari pasand aayi hogi.
Perfect guest post kaise likhe
Friends kaisi lagj ye post batana jarur yadi apke man me is post se related koi questions ho to ap comments karke puchh sakte hai me apke comments ka reply jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....