Youtube me video upload kaise kare
Hello friends aj is post me youtube channel me video kaise upload karte hai iske bare me bata raha hu.YouTube me apne videos ko upload karne ke liye important hai ki hamara YouTube channel ho or hamara YouTube channel fully customized or all settings properly ho tab ham youtube me video upload kar sakte hai or achhe views pa sakte hai.
Ham chahe to YouTube channel create karne ke bad bina set-up or customized kiye bina bhi apne videos ko upload kar sakte hai par yesa karne se viewers ko hamara channel pasand nahi aayega jisse hamare channel ko subscribe bhi nahi karenge isi liye important hai ki channel banane ke bad ham apne channel ko achhe se setup or customized kare or uske bad videos upload kare.
Pichhli post me mene youtube channel setup kese kare iske bare me bataya tha yadi apne us post ko miss kar diye to jarur padhe or apne channel ka setup kare or uske bad videos upload kare.
Ab me man leta hu ki apke YouTube channel ka setup ho gaya hai ab ap apne videos ko apne channel me upload kar sakte hai to chaliye friends start karte hai or apne YouTube channel me videos upload karte hai let's start.
Youtube channel me video upload kese kare -
Youtube me apne videos ko upload karne ke liye aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi apne videos ko apne YouTube channel me jarur upload kar payenge.1. Sabse pehle ap Youtube.com open kare or apni gmail id se login kare.
Youtube channel customize kaise kare
2. Ab ap apne YouTube channel ko open kare yadi ap mobile se upload kar rahe h to ap browser ko desktop (computer) version me open kare.
3. YouTube channel open karne ke bad ab ap upload ke icon par click kare.
4. Ab new page me apko thoda bada upload ka icon dikhai dega ap upload ke icon par click kijiye.
5. Ab apko us video ko select karna hai jise ap upload karna chahte hai.
6. Yaha par video uploading start ho jayegi full uploading hone ka wait kare.
Youtube channel kaise banaye
7. Ab apko yaha par kuchh add karna hai.
A. Video title (name) dale jo bhi ap video ka name ya title rakhna chahte h yaha par add kijiye.
B. Yaha par video ka discretion dale description me ap video ke bare dal dijiye kya kya h apke video me
C. Ab ap yaha par video ka tag line add kare video kis tag ,category me h ya kis ne banaya ye bhi yahi par add kar sakte hai or sath hi apne videos se related main keywords tag me dale.
Youtube channel custom url change kaise kare
8. Ab uploading done hone ke bad publish par click kare ab apka video published ho jayega.
9. Yah par new page open hone par ap video ko share kar sakte hai Facebook, twitter , google+ me yaha se video ko share kar sakte hai.
10. Ab yaha par video manager par click kare or uske bad my chennel par click kare ab ap channel me bapas ajaoge yaha par apko upload hua video dikhai dega.
11. Ab apka video successfully upload ho gaya hai.
12. Isi type se ap or bhi videos ko apne channel me upload kar sakte hai.
Youtube video me end screen & annotations use kaise kare
Is parakar se ham apne youtube channel me videos upload kar sakte h or apne videos ko share kar ke apne videos me achhe views la sakte hai.
Friends kaisi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....