Gallery vault app me fake screen or password kaise banaye

Gallery vault app me fake screen or password kaise banaye

Hello friends aj is post me gallery vault app me fake screen kaise create karte hai iske bare me bata raha hu.


Gallery vault app ke bare me to ap jante hi honge yadi nahi jante to don't worry me apko iski thodi information de deta hu, gallery vault app ek yesa app hai jisme ham aasani se apne personal videos or photos ko hide kar sakte hai or bohot sare users is app ka use bhi karte hai or apne private videos or photos ko hide karte hai.


Gallery vault app hamesha apne app me new new experiment karte rehte hai or apne users ke liye achhe achhe features late rehte hai or aj ham yese hi ek achhe feature ki bat karne bale hai jiski madad se ham gallery vault app ke andar ek fake screen create kar sakte hai, isse pehle ki ham post me aage badhe chaliye thoda iske bare me or jada jan lete hai or uske bad iske setup ke bare me janenge.

Gallery vault app me fake screen kya hai - 

Gallary vault app me fake screen ek yesa feature hai jiski madad se ham app ke andar ek or fake screen create kar sakte hai or sath sath us fake screen ka ek password create kar sakte hai, or jo hamari mail screen hoti hai uska password alag hota hai.

        Gallery vault app ko calculator me hide kaise kare

Kehne ka matlab ye hai ki ham ab gallery vault app me 1 extra screen create kar sakte hai or us ke liye ek alag password bhi set kar sakte hai jisse jab hamse koi other person galllary vault app ka password magenge to ham fake screen ka password de sakte hai jisse ki hamari create ki gayi fake screen show ho jayegi ko bilkul empty hogi isse hamara data or bhi secure ho jayega.


Gallery vault app ke fake screen feature ka me apko ek bohot achha example share karta hu jisse ki is feature ko samjhne me or jada aasani hogi to aayiye ek example dekh lete hai.

Gallery vault app fake screen example -
Man lijiye me apne data (photo or video) ko hide karne ke liye gallery vault app install karta hu, ab me gallery vault app ko open karunga or password set karke apne videos or photos ko hide kar dunga ab mene videos or photos hide ho gaye hai, ab me apne gallery vault app me ek fake screen create karunga or us fake screen ka ek password set karunga.

Gallery vault app me fake screen create karne ke bad or fake screen ka password set karne ke bad ab jab bhi koi mujhse mere gallery vault app ka password magenge me unko fake screen ka password dunga jise dalne ke bad mene jo fake screen create kiya hu vo screen show hogi or vaha par mere videos or photo show nahi honge to mera data or bhi jada secure ho jayega.

       Mobile me keyboard or mouse kaise chalaye

Fake screen ka is example read karne ke bad ab ap is feature ke bare me achhe se jan gaye honge or ab ap bhi apne gallery vault app me ek fake screen jarur create karna chahenge to chaliye dosto start karte hai or gallary vault app me ek fake screen create karte hai, let's start.

Gallary vault app me fake screen create karne ke liye apko apke mobile me gallery vault pro app install karna hoga jiske liye apko 475 rupay ka gallary vault pro app ko purchase karna hoga, par yadi ap purchase nahi karna chahte or fir bhi is feature ka use karna chahte hai to ap is feature ko gallery vault app me 30 day free use kar sakte hai fir yadi apko ye feature achha lagta hai to ap ise purchase kar sakte hai or bohot sare pro version ke features bhi use kar payenge.

Gallery vault app me fake screen create kaise kare -

Gallary vault app me fake screen create karne ke liye aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi fake screen jarur create kar payenge.

1. Sabse pehle ap apne mobile me play store open kare.

         Mobile app me fake crash dialog box set kaise kare

2. Play store open ho jane ke bad ab ap gallery vault app search kare or is app ko install kare.


3. App install ho jane ke bad ab apko niche scroll karna hai.

4. Ab apko yaha par become a beta tester ke niche I'm in par click karna hai.


5. Ab apko beta program me sign up hone ka wait karna hoga.

6. Beta program me signup process complete ho jane ke bad ab ap app ko update kare.

        Kisi Bhi LED TV ko Smart TV Kaise Banaye

7. App update ho jane ke bad ap gallery vault ko open kare.

8. Ab apko gallary vault app me password set karna hai or gallary vault app open ho jane ke bad apni kuchh file isme upload karni hai.

9. Files upload ho jane ke bad ab ap upar profile icon par click kare.


10. Ab apko yaha par fake password par click karna hai.


11. Ab ap fake password option ko enable kare.


12. Apko yaha par bola jayega this is a pro feature ap view par click kare.


13. Ap apko 30 second ka ad dikhaya jayega apko ads ko pura dekhna hai.

14. 30 second ka video ad complete ho jane ke bad ab fake password feature enablel ho jayega.

15. Ab ap change fake password option par click kare or fake password ko change kare.

16. Ab ap gallery vault app se bahar nikal jaye.


17. Ab apko app menu me jakar gallery vault app par click karna hai.

18. Ab apse yaha par password manga jayega to apne jo fake password set kiye hai yaha par fake password add kare.

19 ab apko yaha par gallery vault app me ek fake screen show hogi jaha par koi bhi file nahi hogi.

20. Yadi ap gallery vault open karte time real password add karenge to apki real screen open hogi or apki sabhi hide files show ho jayegi.

          contact number gmail me save kaise kare

21. Ab jab bhi koi apse gallery vault app ka password mange to ap fake password de sakte hai jisme kuchh nahi hoga or bol sakte hai mene abhi tak isme kuchh bhi hide nahi kiya hai.

22. Ab apke gallery vault app me fake screen or fake password successfully create ho gayi hai.

Is type se ham gallery vault app ke fake password feature ki madad se ek fake screen ka password create kar sakte hai or apne data ko or bhi jada secure kar sakte hai ummd hai apko post jarur pasand aayi hogi friends yadi post achhi lagi ho to share jarur karna taki me or bhi yesi hi achhi achhi post share karta rahu.

Friends kaisi lagi ye post batana jarur yadi apko koi bhi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye...

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock