Youtube Video Not Suitable For Most Advertisers Problem Fix Kaise Kare

Youtube Video Not Suitable For Most Advertisers Problem Fix Kaise Kare

Hello friends aj is post me youtube videos not suitable for most advertisers video problem fix kaise kare.


Yadi ap youtube me adsense use karte hai to apko kabhi na kabhi not suitable for most advertisers problem face jarur karni padi hogi. Or ho sakta hai apke kuchh videos me ye problems ho bhi par dosto don't worry aj ham is post me is problem ko fix kaise karte hai iske bare me sikhenge.


Jab ham youtube me video upload karte hai to youtube algorithm pata laga leta hai ki hamara video advertisers ke liye suitable hai ya nahi yadi hamara video advertisers ke liye suitable nahi hota hai to video manager me video ke aage not suitable for most advertisers show hota hai, iska matlab is ye video sabhi advertisers ke liye suitable nahi nahi or isme limited (na ke barabar) ads dikhai denge.

Jab hamare video me not suitable for most advertisers problem aati hai to jo dollar (earning) icon hota hai vo yellow color ka ho jata hai or is type ke yellow dollor bale videos me bahut kam ya kabhi kabhi hi ads dikhai dete hai.

         YouTube Video Ko SEO Ready Kaise Banaye

Yadi hamara video youtube policy ko follow nahi karta hai to usne not suitable for most advertisers aa jata hai kyonki ya to us video me yesa kuchh hoga jo youtube ki policy ya guidelines ke khilaph hoga yese me hame not suitable for most advertisers is problem ko face karna padta hai.

Par kabhi kabhi yesa bhi hota hai ki hamara video sabhi advertisers ke liye suitable hota hai par fir youtube algorithm usme kuchh problems detect kar leta hai or yese me hamare suitable video me bhi not suitable for most advertisers show hone lagta hai par yadi apka video youtube ki sabhi guidelines or policy ko follow karta hai to ap us video se not suitable for most advertisers problem ko remove kar sakte hai or apne video me ads start kar sakte hai.

Conditions -

1. Apka video sabhi advertisers ke liye suitable hona chahiye.

2. Youtube ads policy ko follow karna chahiye.

3. Apke video me kam se kam 1000 views hona chahiye.


Yadi apke video me ye sabhi hai to ap youtube team se apne video ka manual review karne ki request kar sakte hai or yadi apke video me sab kuchh thik raha to apke video se not suitable for most advertisers ko hata kar apke video ko suitable kar diya jayega or apke video me advertising start ho jayegi.

Video not suitable for most advertisers menual review request kaise kare -

Kisi bhi video ka menual review karana ki request bhejne ke liye aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ab bhi menual review request jarur bhej payenge.

1. Sabse pehle ap youtube.com par jaye or apne google account se login kare.

        Youtube channel me playlist kaise banaye

2. Ab ap apne youtube channel ko open kare.


3. Channel open ho jane ke bad ab ap video manager open kare.

4. Video manager open ho jane ke bad ab ap us video par click kare jisme not suitable for most advertisers error aaya hai.


5. Ab ap yaha par monetisation par click kare.


6. Ab ap request manual review par click kare.


7. Ab ap i confirm that my video is suitable for all advertisers bale check box par click kare.


8. Ab apko ek bat dhyan rakhna hai ki apke video me 1000 views hone chahiye or sabhi advertisers ke liye suitable hona chahiye.

9. Yadi sab thik hai to ap submit for review par clik kare.


10. Ab apki manual review request successfully sebmit ho gayi hai.

11. Ab apko 7 days ke andar apke register email id me youtube se mail ajeyga.

       Youtube channel verify kaise kare

12. Review team apke video ka review karne ke bad jo bhi decision legi apko mail me pata chal jayega.


13. Yadi apke video me sub kuchh thik raha to not suitable for most advertisers ko hata kar apke video ko all advertisers ke liye suitable kar diya jayega or dollar ke icon ko bhi green kar diya jayea.


Is type se ham apne youtube video ka menual review kara kar video me YouTube algorithm mistake se aayi not suitable for most advertisers problem ko fix kar sakte hai or apne video ko all advertisers ke liye suitable bana sakte hai or apne video me advertising start kar sakte hai.

         Youtube channel customize kaise kare

Friends ummid karta hu apko is post se kuchh new sikhne ko jarur mila hoga kaisi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock