Remote Upload Kya Hai Or Remote Upload Use Kaise Kare

Remote Upload Kya Hai Or Remote Upload Use Kaise Kare

Hello friends aj is post me remote upload kya hai or remote upload kaise use karte hai iske bare me bata raha hu.


Uploading (video uploading, audio uploading, photo uploading, files uploading) ke bare me to ap jante hi honge or kahi na kahi apne internet me kuchh na kuchh to upload jarur kiye honge par aj ham is post me remote url uploading ke bare me janenge ki ye kya hai or ise kaise use karte hai.


Remote uploading online data (files) uploading ka ek bahut important feature hai, or remote uploading ka use dino din badhta hi ja raha hai isi liye me ye post likhna important samjha ki ap log bhi is feature ko achhe se samjh sake to chaliye dosto jan lete hai remote uploading kya hai.

Remote Url Upload kya hai -

Normal uploading me ham apne mobile, computer ke local drive me save data (file) ko upload karte hai par remote upload me ham kisi cloud server me store data ko apne cloud server me upload karte hai.

Remote upload me ham kisi bhi cloud storage me store data ko url ke though apne cloud storage me save kar sakte hai or isme time bhi bahut kam lagata hai isi liye remote uploading itni important ho gayi hai.

Example of remote uploading -
Man lijiye me ek cloud storage ka use karta hu or mene us cloud storage me ek 700 mb ki movie store kar rakha hu ab ap chahte hai ki jo 700 mb ki movie mere cloud server me hai vo hi apke cloud server me bhi ho to yadi ap normal uploading karte hai to pehle apko mere cloud storage me upload 700 mb ki movie ko download karna padega or download karne ke bad fir apko upload karna padega yese me apko jada data use karna padega or jada time bhi dena padega.


Ab yadi bat kare remote upload ki to man lijiye mere kisi cloud server me ek 700 mb ki movie upload hai or ap chahte hai ki vo movie apke cloud server me bhi ho to apko sabse pehle mere cloud storage me upload 700 mb ki movie ka download link copy karna hoga or apni cloud storage me jakar remote uploading me jakar mera url past karne ke bad direct uploading start ho jayegi remote upload me hame movie download karne ki jarurat hi nahi padegi.

         Top 10 Free Cloud Storage Earn Money Uploading Your Files Hindi

Ab ap samjh gaye honge ki remote uploading ki madad se ham kisi bhi file ko ek server se dusre server me aasani se upload kar sakte hai without download kiye ab ap bhi is feature ka use karna jarur chahenge to chaliye dosto start karte hai or remote uploading ka use kaise karte hai sikh lete hai.

Remote upload kaise kare -

Kisi bhi file ko ek server se dusre server me remote upload karne ke liye aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi remote uploading feature ka jarur use kar payenge.

1. Jis bhi file ko apko apke cloud storage me upload karna hai sabse pehle ap us file ki downoading link ko copy karna hai.

           Online Cloud Storage se Paise Kaise Kamaye

2. Apko file ki direct download link copy karna hai yadi ap us file ko download kare to file ki downloading start ho jaye yese link ko apko copy karna hai.

3. Downloading link copy karne ke bad ab ap jis cloud storage ko use karte hai us cloud storage ko open kare.


4. Me bdupoad.info cloud storage ko open kar raha hu ap jisko use karte hai ap us cloud storage ko open kare.

5. Ab ap cloud storage me apne login info add kare or apne account me login kare.

        Social media Ke Liye Funny Or Horror Photo Or Video Kaise Banaye

6. Cloud storage account open ho jane ke bad ab ap upload par click kare.

7. Uploaad par click karne ke bad ab ap remote URL upload (remote upload) par click kare.


8. Remote url upload ya remote upload par click karne ke bad ab apko ek box dikhai dega apne jo URL copy kiye the us URL ko us box me past kare.


9. URL ko box me past karne ke bad ab ap upload icon (upload) par click kare.


10. Upload par click karne ke bad apki file upload hona start ho jayegi.


11. Yadi ap uploading ko bich me rokna chahe to to ap abort par click kar ke uploading ko stop kar sakte hai.


12. Ab ap uploading process complete hone ka wait kare.

13. Uploading process complete hone ke bad apko file ka name dikhai dega or usi ke niche file size show hoga.


14. File name ke aage apko ek pencil (edit) icon dikhai dega ap us par click karke file ko rename kar sakte hai.


15. File name or file size ke niche apko ek link dikhai dega jo apki file ka downloading link hoga apko isi link ko share karna hai.


16. Ab apki file successfully remote upload ho gayi hai isi type se ap or bhi files ko remote upload kar sakte hai.

Warning - 
Yadi ap remote upload se koi file upload kar rahe hai to apko uploading se pehle file ka size nete kar ke ya yad rakhna hai or file remote upload hone ke bad file ka size check karna hai yadi apki file ka size pehle jitna hi hai to apki file successfully full upload ho gayi hai. Or yadi apki file ka size pehle kuchh or tha or uploading ke bad kuchh or hai to apki file me uploading time koi problem aayi hai ap fir se upload kare.

         Google account all recovery option info in hindi

Is type se ham kisi bhi file ko ek server se dusre server me remote upload kar sakte hai or download karne me lagne bala time or data ko bacha sakte hai ummid hai apko is post se kuchh na kuchh new sikhne ko jarur mila hoga yadi apko post achhi lagi to social media me apne friends ke sath share jarur kare.

Friends kaisi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock