YouTube Me Apne Duplicate Videos Ka Pata Kaise Lagaye

YouTube Me Apne Duplicate Videos Ka Pata Kaise Lagaye

Hello friends aj is post me YouTube Me Apne Duplicate Videos Ka Pata Kaise Lagate hai iske bare me full details me bata raha hu to bane rahe ap is post ke last tak.

Duplicate Videos, YouTube, YouTube Me Apne Duplicate Videos Ka Pata Kaise Lagaye

Yadi ap ek youtuber hai or youtube me videos upload karte hai to ap jante hi honge ki videos bana kar taiyar karne me kitne mehnat lagti hai, or yese me ham nahi chahte ki koi or hamare videos ko apne channel me dale.


Yadi ap janna chahte hai ki kya apke videos ko kisi ne apne channel me upload kiye hai o aj ap sahi post me aaye hai aj apko is post me iske bare me puri jankari milegi.

Youtube me ek bahut achha feature hai jiska name Copyright hai is feature ki madad se ham aasani se pata laga sakte hai ki kahi kisi ne hamara video apne channel me upload to nahi kiye hai.

           Youtube Me Poll Create Kaise Kare

Yadi kisi ne hamare video ko upload kiye hai to ham youtube ke Copyright feature ki madad se ye aasani se pata laga sakte hai, or yadi kisi ne video upload kiye hai to uski sari details yaha se le sakte hai or sath hi sath youtubr se us video ko remove karene ki request bhi kar sakte hai.


Youtube ke Copyright feature ke bare me janne ke bad ummid hai ab ap bhi ise use jarur karna chahenge to chaliye dosto suru karte hai or jante hai ki youtube me dupliucate videos ka pata kaise lagate hai.

YouTube Me Apne Duplicate Videos Ka Pata Kaise Lagaye -

Youtube me duplicate videos ka pata lagane ke liye aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi copyright videos ko jarur se find (dundh) payenge.

1. Sabse pehle ap apne youtube channel ko open kare.

2. Youtube channel open ho jane ke bad ab ap Video Manager par click kare.

Duplicate Videos, YouTube, YouTube Me Apne Duplicate Videos Ka Pata Kaise Lagaye

3. Video manager open ho jane ke bad apko yaha par apke sabhi upload kiye gaye videos dikhai denge.

4. Ab ap left side me Copyright (©) ke icon par click kare.

Duplicate Videos, YouTube, YouTube Me Apne Duplicate Videos Ka Pata Kaise Lagaye

5. Ab copyright option open ho jane ke bad ap Matches par click rahenge.

Duplicate Videos, YouTube, YouTube Me Apne Duplicate Videos Ka Pata Kaise Lagaye

6. Iska matalb yeh hai ki yaha jitne bhi videos dikhaoi denge vo sabhi apke videos ke duplicate videos rahenge.

7. yaha apko sabse pehla option Matching Videos ka dikhai dega mtlb is option ke niche sabhi duplicate vidoes ke Title (Name) dikhai denge.

8. Ab jo Next option hai vo hai Total Views ka is option ke niche apke duplicate videos me kitne views aaye hai yeh check kar sakte hai.

           Youtube Video Not Suitable For Most Advertisers Problem Fix Kaise Kare

9. Ab jo next option hai vo hai Channel ka is option ke niche ap yeh dekh sakte hai ki apka duplicate video kis channel me upload kiya gaya hai.

10. Ab jo next option hai vo hai % Match ka is option ka use karke ap yeh dekh sakte hai ki jo duplicate video hai vo apke video se kitne % match kar raha hai.


11. Ab ham sidhe chalte hai Action option par is option ke niche apko 3 icon dikhai dega apke yaha par apke liye bich bala icon jada importent hai jo ki hai Request Video Removal ka.

12. Ab ap bich bale Request Video Removal option par click kare.

Duplicate Videos, YouTube, YouTube Me Apne Duplicate Videos Ka Pata Kaise Lagaye

13. Ab apko yaha par REQUEST VIDEO REMOVAL par click karna hai.

Duplicate Videos, YouTube, YouTube Me Apne Duplicate Videos Ka Pata Kaise Lagaye

14. REQUEST VIDEO REMOVAL par click karne ke bad ab apki screen par Request Video Removal form open ho jayega.

15. Ab ap is form ko thik se fill kare or uske bad SUBMIT par click kare.

Duplicate Videos, YouTube, YouTube Me Apne Duplicate Videos Ka Pata Kaise Lagaye

16. Ab yadi apne jo details form me fill kiye hai vo sab thik hai to jo duplicate video hai use youtube se remove kar diya jayega.


Is type se ham Youtube ke Copyright feature ka use karke apne duplicate videos ko find kar sakte hai or YouTube Me Apne Duplicate Videos Ka Pata Kaise Lagane ke bad us video ko Remove karene ki Request youtube ko bhej sakte hai, ummid karta hu apko yeh post achhi lagi hogi or jarur kuchh na kuchh naya sikhne mila hoga, yadi apko yeh post achhi lagi to post share jarur kare.

           YouTube Video Ko SEO Ready Kaise Banaye

friends kaisi lagi yeh post batana jarur yadi apko koi problem aaye to comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye...

                    alltrickinfo

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock