browser autofill form kese start kare

browser autofill form kese start kare 
hello dosto aj me is post me browser ke auto fill form option ka use karna bataunga kis kis prakar so  ham browser ke autofill form option ko on kar sakte h or uska use kaha hota h ye sab aj is post me share karunga



autofill form kya h -



autofill fotm ek form hota h jo hamare mobile ya computer ke chrome browser me hota h or isme ham hamari detail dal kar save kar dete h

       mobile look kese change kare

autofill form kaha use hota h -



jab ham net me online koi registration forms fill up karte h tob is auto fill form ka use hota h jab hame computer ya mobile se bohot sare farm fill up karne hote h to hame har bar apni full detail dalna padta h isi se bachne ke liye browser ke autofill form ka use kiya jata h

       domain name kaha se kharide

auto fill form kese work karta h -



jab ham chrome browser ke autofill form option me apni detail save kar dete h uske bad jab ham chrome browser se koi form fill up karte h or apne name ke kuchh word dalte h  tab hame browser hamara full name suggest karta h jab ham name par click karte h tab sabhi detail automatic fill ho jati h

      Facebook me tag list se kese nikle

browse me autofill form option kese start kare -


1. sabse pehle apne mobile me chrome browser open kare



2. ab menu par click kare



3. yaha par setting par click kare



4. setting open hone ke bad autofill form par click kare



5. yah par pehle autofill form option ko on kare or address ke age bale + (plus)  ke icon par click kare



6. ab apko yaha par ek form dikhai dega us form me apni sabhi details fill up kar de jese name, address, mobile no.,gmail id etc ye sabhi details ko fill up kar de

    list of hindi website

7. sabhi details ko ek bar thik se check kar le or done par click kare



8. ab jab ap koi form fill up karoge to apko apka name browser suggest karega us par click karne par apka 80% form auto fill up ho jayega


note :- kuchh site yesi hoti h jaha par autofill form option use nahi hota ya kam nahi karta un site par browser autofill form ka option suggest nahi karta


dosto is prakar se ham browser ke autofill form ka use kar sakte h or kisi site me registration karte time full form ko fill up karne se bach sakte h  dosto kesi lagi ye post batana jarur next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....
      blog me pages kese add kare

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock