Mobile garam hone par kya kare

Mobile garam hone par kya kare 
Hello dosto aj me is post me mobile heat kyon hota h or mobile heat hone par kya kare ye sab aj me is post me bata raha hu



Lag bhag sabhi smartphone heat (garam) hote h ye koi new bat nahi ki mera smart phone heat hota h lag bhag sabhi smart phone me ye problem ati h aiye jante h mobile garam kyon hota h
      Google map me address add kese kare

Mobile garam kyon hota h -
Jab mobile ko lagatar bohot der tak use karte h tab mobile garam hone lagta h havy apps use karna, backgrounds me app open rakhna, yese bohot se karan hote h jisse mobile garam hone lagta h or bohot garam ho jata h

Mobile garam hone ke bad kya kare -

Mobile heat hone ke bad hame kya kya karna chahiye me yaha kuchh main point bata raha hu jisse mobile kam garam to hoga par garam hone ke bad heating kam bhi kar sakte h or me jo batane bala hu mene bhi use kiya hu or mera mobile heat hone ke bad normal jaldi ho jata h

1. Remove back cover - 
Bohot log mobile me back cover lagana pasand karte h par jab mobile heat karne lage to back cover ko nikal dena chahiye jisse mobile heating jaldi kam ho jata h

2. Off Wi-Fi and hotspot - 
Bohot time tak mobile ko Wi-Fi ya hotspots se connected rakhne se bhi mobile jaldi se heat ho jata h ho sake to jitna jaruri utna hi WiFi , hotspot ka use kare
        Wifi block kese kare

3. Scan your mobile - 
Bohot log smartphone me laga tar net use karte h to net se kuchh yese viruse ya file ajati h jo mobile ke liye thik nahi hoti ap uske liye mobile scaner ka use kar sakte h or mobile ko scan kar ke viruse ko delete kar sakte h ap apne mobile ke liye 5 mit nikal kar har roz mobile ko Scan kare

4. Kill background app - 
Mobile use karte karte ham mobile me bohot sare apps open kar lete h or background app ko kill karna bhul jate h app use karne bad usko kill karde background se hata de jisse apka mobile bhi fast rahega or battery bhi bachegi


5. Update mobile and mobile apps -
Mobile ke sabhi app ko time time me update karte rahe and yadi mobile update mile to mobile bhi update kare par sabse important h apps ka updates karna
        Full feature music player all in one app

6. Charger se connect kar ke use na kare -
Kabhi kabhi ham mobile ko charge me laga kar use karne lagte h par sabse jada mobile heat charger ke connected hone or mobile ka use karne se hi hota h jitna jaruri ho utna hi kam charger se connect kar ke kare

7. Turn off yor Mobile -
Kabhi kabhi mobile itna heat (garam) ho jata h ki dar lagne lagta h ki kahi blast na ho jaye to ap yese me mobile ko off kar de or mobile se battery remove kar de and 5 mit mobile off rakhe

Is prakar se ham mobile heat hone par mobile ko jaldi cool kar sakte h

Kesi lagi ye post batana jarur yadi apko kuchh puchhna ho to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye.....
        Facebook me stylish post kese kare

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock