WordPress website banane ke bad kya kare

WordPress website banane ke bad kya kare
Hello friends aj is post me WordPress me blog banane ke bad kya kya kare iske bare me bata raha hu


Yadi apne abhi abhi WordPress website create kiye h to me aj apko bataunga ki website banane ke bad kya kya karna important hota h jisse hamari website achhe se chal sake


Aaksar jab ham new website create karte h to samjh nahi aata h ki ab kya setup kare par aj is post me apko bohot sari jankari mil jayegi ki kya kya setup karna important hota h jisse ap aasani se apni website me setup kar paoge

         WordPress permalink setting kese kare

Website create karne ke bad sabse pehla kam hota h ki apni website ko thik se setup kare taki jab ham apni website ko launch kare jada se jada log hamari website blog ko padand kare or hamari website me bar bar visit karna chahe

WordPress blog banane ke bad kya kare - 

Website banane ke bad kya karna chahiye iske liye me apko kuchh point bata raha hu yadi ap vo sab setup apni website me thik se karte h to apki website bhi bohot achhi jarur ban jayegi

1. Set theme -
Apne website/blog create karne ke bad sabse important kam hota h ki ap apne blog me ek achha good looking fast loading theme apni website me add kare jisse apki website design me kafi madad milegi


Theme features -
Ap jo bhi WordPress theme select kare usme kuchh achhe features hone chahiye

Example -

1. Seo friendly
2. Fast loading
3. Mobile friendly
4. 1 slid bar
5 good looking

         WordPress me plugin or theme delete kese kare

Ap is type ke features bala theme apni website ke liye select kar sakte h

2. Customize theme -
Website me theme upload karne ke bad sabse important h theme ko customize karna theme upload karne ke bad ap apni website ke aanusar customize jarur kare


Yadi ap apni website (theme) ko achhe se customize karte h to apke blog ko jada se jada log (visitors) pasand jarur karenge

3. Install plugins -
Ap ye to jante hi honge ki WordPress me plugin ka bohot hi jada important kam hota h to ap apni website ke liye sabhi important plugins install or active jarur kare

Most important plugins -
1. Yoast
2. Backupbuddy
3. W3 total cache
4. Sucuri
5. Floating social bar

        Free hosting me domain add kese kare

Ye mene kuchh achhe plugins ke name bataye h ap apne aanusar apni pasand ke plugins install jarur kare

4. Permalink setting -
Jab ham WordPress website banate h to WordPress me jo permalink set hota h vo seo friendly nahi hota h ap apne aaunsar seo friendly permalink structure set kare

5. Submit website search engine -
Yadi ap chahte h ki apka blog/website or post search results me show ho to ap apne blog ko search engine me jarur submit kare

         Free hosting se WordPress website kese banaye

Blog ko search engine me submit karne se apka blog or blog post search results me show hogi jisse apki website me visitors increase honge

Most popular search engine -

1. Google
2. Bing
3. Yahoo

6. Delete plugins & theme -
Yadi apke blog me bohot sare theme or plugins install ho gaye h or jo apke koi kam ke nahi h to ap un sabhi extra theme or plugins ko delete kar de isse apki site speed improve hogi

7. Add favicon or logo-
Apni website ke liye achha logo favicon banaye or apni website me add kare fevicon or logo ki madad se visitors ko website pehchan karne me aasani hoti h


WordPress me website banane ke bad ap ye sabhi setup jarur kare ab ap to jan hi gaye honge ki website banane ke bad kya kya karna bohot important hota h

         Best online seo tools in hindi

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye.....

Comments

  1. Dear reetesh? really nice info & thanks for sharing..

    ReplyDelete
  2. aapne bahut hi achcha samjhaya h.

    ReplyDelete
  3. WordPress Website ke bare men achcha post h. Thanks

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock