Search engine se link remove kaise kare

Search engine se link remove kaise kare
Hello friends aj is post me google search engine se links remove kese karte h iske bare me bata raha hu


Hamare blog or website me bohot sare link hote h yese me sath sath yese link bhi hote h jo broken link hote h ya expire links hote h jinke karan hamari site me errors aati rehti h


Hamare blog me bohot sari post hoti h or kuchh post yesi bhi hoti h jo bohot jaldi expire ho jati h ya kuchh yesi past bhi hote h jo ham search engine me index nahi karna chahte par jab ham blog me post published karte h to search engine automatic hi index kar leta h

         Low quality backlink remove kese kare

Par yadi ham sach me chahte h ki hamari koi post ya kuchh 404 page note found link google me na rahe to ham un links ko google search engine se remove ya hide kar sakte h jisse hamari index post google se asani se remove ho jati h

Google se ap jo bhi links (url) remove karna chahte h ya broken link remove karna chahte h to uske liye sabse important point h ki apko jo bhi url remove karna h vo url apke pas hona chahiye ap sirf un hi links ko remove kare jo apke blog ke liye koi kam ki na ho


Yadi ap galti se bhi koi achhi post ko remove kar dete h to apki post me bohot hi jada bura aasar padega to ap link ko remove karne se pehle links ko achhe se check kar le ki jo link remove karna chahte h ye bahi link hai ya nahi taki apko aage chal ke problem na ho

Links remove karne ke benefits -
Ha friends links remove karne ka hame hi benefit hota h vo to ap samjh hi sakte h kyonki bina wajah ham koi bhi kam nahi karte h to chaliye iske benefits bhi jan lete h

1. Jo post ham nahi chahte ki search results me show ho un post ko search engine se removed or hide kar sakte h

2. Expire or broken links ka pata kar ke remove kar sakte h

3. 404 page note found links ko remove kar sakte h

4. Crawl errors aane ke chances kam kar sakte h

         Best online seo tools in hindi

Links remove karne ke fayde to apko pata chal hi gaya h par ap dhyan rakhe ki kahi galti se koi yesi post remove na ho jaye jo nahi hona chahiye nahi to apko loss bhi ho sakta h to me ek bar or bolna chahunga ap jo bhi link remove karna chahte h use pehle ap thik se check kar lijiye use bad remove kare

Google se links remove kaise kare -

Google search engine se kisi bhi link ko remove karne ke liye ap aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi kisi bhi links ko aasani se remove kar paoge

1. Sabse pehle ap jo bhi links ko remove karna chahte h us link ko copy kare

          Blog backup kese banaye

2. Yadi ap 404 page note found link ko remove karna chahte h ap is link ko copy kare

3. Ab ap google webmaster tool (search console) open kare or apne google account se login kare


4. Ab apko yaha par apki submit ki gayi website dikhai degi jis website se ka link remove karna h us website ke url par click kare

         Google news me blog submit kese kare

5. Ab apko left side me kuchh option dikhai denge ap Google Index par click kare

6. Yaha par kuchh option or open ho jayenge ap Remove URLs par click kare


7. Ab apko yaha par temporarily hide par click kare


8. Ab apko ek box dikhai dega jo URL ap remove karna chahte h box me past kare or Continue par click kare


9. Ap apko yaha par upar "temporarily hide page from search results and remove from cache" is option ko select kare

10. Ab apko Submit Request par click kare


11. Ab apko ek message dikhai dega jisme url dikhai dega or url ke niche has been added for removal dikhai dega


12. Jo URL apne remove ke liye add kiye h uska status pending dikhai dega kuchh der bad pending ki jagah par expire dikhne lagega iska matlav apka url remove ho gaya h


13. Ab ap jo bhi URL (link) remove karna chahte the vo link removal ke liye successfully add ho gaya h

14. yadi ap or other url ko remove karna chahte h to isi type se kar sakte h

            Blog me social media widget/button add kese kare

Is type se ham jo bhi url ko google search engine se remove kar sakte h or sath sath apne blog or website ke expire or broken link ko remove kar ke website clean kar sakte h

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye...

Comments

  1. thansk bro.. its very helpfull, bhai tu bhut kaam aat hai, or tere post bheee

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock