Android mobile root kaise kare

Android mobile root kaise kare 
Hello friends aj is post me android mobile root kese kare iske bare me bata raha hu


Friends pichhli post me mene "mobile root karna kya hota h or rooted mobile ke kya kya fayde hote h" iske bare me bataya tha yadi apne post nahi padhe to link par click kare or post read jarur kare


Apne android mobile ko root karna to suna hi honge or yadi apne pichhli post read kiye hai to apko root kya hai or rooted mobile ke fayde bhi pata ho gaye hai ham android mobile ko root karne ke bad usne kuchh bhi changes kr sakte h mobile me compny ki limit toot jati h or ham mobile ki system file tak chale jate h or mobile me kuchh bhi change kr sakte ya customize kr sakte h

          Mobile font change kese kare

Android mobile ko aksar bohot log mobile ko full roop se access karne ke liye root karte h jisse mobile me alag alag experiment kar pate h or kuchh yese kam kar pate h jo bina rooted mobile me nahi kar pate h

Yadi ap bhi apna android mobile ko root karna chahte h to me aj apko is post me Android mobile ko root karne ka bohot hi aasan tarika bata raha hu jiski madad se ap apne mobile ko aasani se root kar payenge


Mobile root karna vese to ek safe process hai par yadi ap rooting time kuchh galti kar dete hai to ho sakta h apke mobile me problems bhi aa sakti h to ap savdhani se apna mobile root kare

        Android mobile boot screen change kese kare

Me yaha apne taraf se ek bat or bata dena chahta hu yadi ap apne android device ko root karna chahte h or yadi apka mobile warranty me  hai to ap root na kare nahi to apki wareanty khatam ho jayegi or yadi apne galat process use kiye to apka mobile kharab bhi ho sakta hai

Mobile root karne ke liye kya kya chahiye -

1. mobile ki battery 70% se jada charge rakhe

2. 3g internet ya Wi-Fi

3. Kingo root app - click and download kingoroot app

Apna mobile root karne ke liye apko ye 3 chijo ki bohot jada jarurat padegi yadi apke pas ye 3 chiz hai to ap aasani se apne android mobile ko root kar sakte hai to chaliye friends aage badhte hai

Mobile root kaise kare -

Apne android mobile ko root karne ke liye ap aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi apne mobile ko jarur root kar payenge

1. Sabse pehle ap download kiye gaye kungoroot app ko open kare

         Mobile me multi wallpaper set kese kare

2. Kingo root app open kare apko upar no root dikhai dega or bich me apke mobile ka modal number show hoga


3. Ab ap one click root par ya jaha no root likha hai baha par click kare


4. Ab apke mobile screen me rooting process start ho jayegi


5. Ab apko rooting process 100% complete hone tak ka wait karna hai

6. Rooting process ke time ap back na ho or na hi kisi other app ko open kare

7. Rooting process 100% complete ho jane ke bad apka mobile automatic hi switch off ho jayega or automatic restart ho jayega

8. Mobile restart ho jane ke bad ab apko check karna hai ki apka mobile root hua ya nahi

         Rooted mobile me kya nahi kare

9. Mobile root check karne ke liye simple tarika ye hai ki ap fir se kingoroot app ko open kare

10. App open ho jane ke bad yadi apka mobile root ho gaya hai to jaha par pehle no root likha tha baha par have root dikhai dega or niche go to supar user dikhai dega


11. Yadi apko screen par have root or niche Go to suparuser dikhai de to iska matlav apka mobile root ho gaya hai

12. Ab apka mobile successfully root ho gaya hai or ek superuser app automatic install ho jayega

13. Ab go to superuser par click kare


Ab ap kingo superuser app me chale jaoge ab yaha se ap user app or system app delete kr sakte ho mobile boost kar sakte hai

14. Ab ap apne rooted mobile ko apne anusar use kar sakte hai or apne mobile ko customize kar sakte h

Note -
kingo root app sirf kuchh hi mobile me work karta h ho sakta h isse apka mobile root na ho yadi is trick se na ho to ap or koi other app use kare or apna android mobile root kare

          Mobile me zip file kese banaye

Is prakar se ham apne android mobile ko root kar sakte hai or mobile root karne ke bad mobile ko apne aanusar use kar sakte hai or customized kar sakte hai

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

  1. Hello
    Such a great and informative article
    Thanks for sharing

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock