Youtube channel custom url set kaise kare

Youtube channel custom url set kaise kare
Hello friends aj is post me YouTube channel ka me custom url create kese karte h iske bare me bata raha hu


Sabhi youtubers chahte h ki channel ka ek custom url ho jisse vo jab chahe tb aasani se channel ka url share kar sake or ye bat bhi sahi h ki ham youtube me aasani se custom url create kar sakte h bas hame youtube ki kuchh conditions ko follow karna hoga


Jab ham youtube me ek channel create karte h us time youtube hame hamare channel ka ek url provide karta h vo default url hota h kuchh is type se hota h  https://www.youtube.com/channel/UCa7qui62HzRyIfhvV8Sgipg  is type ke url ko yad karna bohot muskil hota h

        Youtube video me end screen & annotations use kese kare

Par yadi hame hamare channel ka url share karna pad jaye to hame jab bhi channel url share karna hota h bar bar YouTube me jate h or url copy kar ke lana padta h iske karan to kabhi kabhi share bhi ni kar pate

Par yadi ham chahe to apne youtube channel ka custom url set kar sakte h or apne channel ka url kuchh is type se easy bana sakte h  https://www.youtube.com/c/reehinditrick ya fir sirf itna bhi likh sakte h youtube.com/c/reehinditrick to ap dekh sakte h ye bohot aasan url h


Custom url ham apni pasand ka set karte h ya apne channel ka name set karte h jisse hame youtube channel ka url yad karne me jada problem nahi hoti or kabhi bhi kahi bhi share kar sakte h

Channel custom url conditions -
Youtube channel ka custom url create karne ke liye youtube ki kuchh conditions h yadi ham un conditions ko follow nahi karenge to hame custom url nahi mil payega to ap sabhi conditions ko thik se follow kare

         Youtube video me card or i button add kese kare

1. Youtube channel me kam se kam. 100 subscribers hone chahiye

2. YouTube channel 30 days old hona chahiye

3. Channel icon hona chahiye

4. Channel art set hona chahiye

Yadi apke youtube channel me sab conditions available h to ap aasani se apne channel ka custom url set kar sakte h to chaliye friends start karte h or custom url set karte h

Youtube channel custom url set kaise kare -

Apne channel ka custom url create karne ke liye ap aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi apne channel ka custom url jarur create kar payenge

1. Sabse pehle ap youtube.com par jaye or apne google account se login kare

2. Apna youtube channel open kare


3. Yaha par ap video manager (creator studio) par click kare

           YouTube channel me business inquiry email add kese kare

4. Ab apko screen me left side kuchh option dikhai denge ap CHANNEL par click kare


5. Custom url bale box par jaye ab yadi apne sabhi conditions follow kiye h to apko enable ka option dikhai dega ap enable par click kare


6. Ab apko channel setting ke niche you're eligible for a custom url. Claim it here ye option dikhai dega ap here par click kare


7. Ab ap yaha par channel url look choose kare

8. Yadi ap channel name se hi url set karna chahte h to ap first option select kare

9. Ya yadi ap apne channel url me kuchh or words add karna chahte h to second option par click kare

            Youtube channel delete kese kare

10. Second option choose karne par ap channel ke name ke bad kuchh or name add kar sakte h

11. Apni pasand ka url look choose karne ke bad ap i have read and agree to the custom url terms of use is check box par tick kare

12. Ab apko change url par click karna h


13. Ab apko confirm choice option par click karna h


14. Ab ap channel hone me redirect ho jayenge or apke channel default url ki jagah par apko custom url dikhai dega


15. Ab hamne apna youtube channel ka custom url successfully set kar liye h

Is prakar se ham apne youtube channel ka custom url create kar sakte h or apne channel ka url ko apni pasand ka easy url set kar sakte h

          Youtube channel me multiple gmail id add kese kare

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga or mera youtube channel youtube.com/c/reehinditrick ko subscribe jarur kare next post me fir se milenge tab tak ke liye bye.....

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock