Government portal se online paisa kaise kamaye

Government portal se online paisa kaise kamaye

Hello friends aj is post me government portal se online paisa kaise kamate hai iske bare me bata raha hu.

Government portal se online paisa

Government services yesi services hoti hai jin par sabhi work karna chahte hai or paisa kamana chahte hai kyonki government services trusted service hoti hai or dhoka dhadi nahi hoti hai or ham in par aasam se bina sak ke work kar sakte hai or paise kama sakte hai.


Government portal kya hai or indian government ke best portal kon kon se hai inke bare me to ap jante hi honge yadi ap nahi jante hai to don't worry "government portal kya hai, best gov. Portal info in hindi" me ye post pehle hi likh chuka hu is post ko read karke ap government portals kya hai or best government portal kon konse hai inski jankari le sakte hai.

Aj kl hamara lagbhag sabhi kam online ho jata hai chahe hame mobile recharge karna ho ya travel karne ke liye ticket book karna ho ya fir apne dosto se bat karna ho ye sab kam ham internet ki madad se online hi kar sakte hai or apna kaphi time bacha sakte hai.


Jab users sabhi kam online karte hai to online paisa bhi kamana chahte hai or chahte hai ki ham online yesi jagah se paise kamaye jo trusted ho or ham jo mehnat karke paise kamaye hamare paise thik se or time par pay kare iske liye government services se achha kon sa work ho sakta hai ji ha dosto ham citizens ko online government services provide karke achhe paise kama sakte hai.

      Internet se online paisa kaise kamaye

Government portal se ham online or offline dono taraf se paise kama sakte hai jese ham koi online form fill up karte hai to form fill up karne ka hame portal se kuchh present (%) commission mil jata hai or sath hi sath jin logo ka ham online work karte hai unse offline kuchh rupay bhi le sakte hai apni mehnat ke tor par ya photo copy kiye gaye documents ka to is tarah se ham government portal se government service provide karke online or offline dono taraf se paise kama sakte hai.

Government portal se online paisa kaise kamaye -

Government portal se online paisa kamane ke liye me aage kuchh tips share kar raha hu jiski madad se ap bhi gov. Portal se paise jarur kama payenge.

1. Sabse pehle ap kuchh government portal jese csc, umang, mp online, digital india in portal ko work karne ke liye select kare.

2. Ab apne jis bhi portal ko work karne ke liye select kare hai apko un portal me apna registration karna haga.


3. Portal par successfully registered ho jane ke bad apko portal ko access karne ke liye login id or password diya jayega.

4. Login id or password milne ke bad ap portal me jakar apne online portal account ko open kar sakte hai or government services ko access kar sakte hai.

5. Portal me login hokar ap Indian citizens ka online work kar sakte hai jese online form fill karna or yese bohot se kam kar sakte hai or commission earn kar sakte hai.

      Kaise Apne Photography Business Ko Instagram Par Promote Kare

6. Online government portal me work karne ka apko har ek work ka alag alag commission diya jayega.

7. Ab chahe to jin logo ka ap form fill kar rahe hai unse photo copy and apni mehnat ke kuchh rupay bhi le sakte hai jo ki sabhi karte hai or is type se online commission ke sath sath offline kamayi bhi kar lete hai.

Is type se ham government portals me work karke bhi online paisa kama sakte hai, government portal se paise kamane ke liye bas hame portals par registration karna hai or uske bad ham paisa kamana suru kar sakte hai.

Government portal se kon konsi service access kar sakte hai -

Government portals se ham bohot sari service ko access kar sakte hai alag alag portal me alag alag service provide ki jati hai or kuchh services yesi bhi hoti hai jo sabhi portals me mil jati hai government portals me ham kon konsi services ko access kar sakte hai iske bare me aage bata raha hu.

1. Mobile recharge kar sakte hai.

2. DTH recharge kar sakte hai.

3. Electricity bill pay kar sakte hai.

4. Tickets book kar sakte hai.

5. Pan card bana sakte hai.

6. Pan card update kar sakte hai.

7. Aadhar card bana sakte hai.

8. Aadhar card update kar sakte hai.

9. Aadhar card download kar sakte hai.

10. Bank services ko manage kar sakte hai.

11. Scholarship ke liye form fill up kar sakte hai.

12. Job form fill up kar sakte hai.

13. Loan ke liye apply kar sakte hai.


Ye to thi kuchh kuchh services jo ham government portal se access kar sakte hai or un par work kar sakte hai yesi hi or bhi bohot si services hai jin par ham work kar sakte hai or paisa kama sakte hai.

       Promotion kya hai online business promotion kaise kare best tips in hindi

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye...

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock