Internet se online paisa kaise kamaye

Internet se online paisa kaise kamaye

Hello friends aj is post me internet se online paisa kese kama sakte hai iske bare thodi info share kar raha hu.

Internet se online paisa

Sabhi internet users chahte hai ki ham apni pocket money ke liye internet se paisa kamaye yadi ap bhi chahte hai online paisa kamana to aj ap sahi post me aaye hai.


Internet se paise kamane ke bohot sare tarike hai jin par yadi achhe se work kiya jaye to ap bhi internet se paisa kama payenge, and ap jo bhi work online start karenge usme ho sakta hai starting me ap paise na kama paye par jese jese apka work badhega ap us work me old honge ap paisa kama bhi start kar payenge.

Internet se paisa kamana aasan nahi hai or muskil bhi nahi hai yadi ap lagan se koi kam karte hai to uska fal apko jarur milega online earning ke liye apko achha work or thoda sabr karna hoga bad me ap bhi paisa jarur kama payenge.

       Kaise Apne Photography Business Ko Instagram Par Promote Kare

Sabhi log (all internet users) online paisa to kamana chahte hai par confusion ke karan work chhod dete hai or fir paise nahi kama pate hai or work chhodne ka main karan confusion hi hai kyonki online itne sare work available hai jinko kar ke paisa kamaya ja sakta hai.


Online adhik work available hone ke karan users confuse ho jate hai ki ham konsa work apne liye select kare or yadi koi work select kar bhi lete hai or us work me jaldi paise nahi kama pate hai to fir sochte hai sayad mene koi galat work select kar liya isme mujhe benefit nahi mil raha hai yesa kuchh soch ke work karan chhod dete hai or new work karne ki soch lete hai.

Yadi ap bhi online paisa kamana chahte hai to me apko kahunga ap achha work apne liye select kare or jo bhi work ap select kare usko continue karte rahe yadi ap bhi confused hokar bar bar work change karenge to apke liye bhi paisa kamaya muskil hoga to me apko kahunga regular work karte rahe.

Online paisa kaise kamaye -

Online paisa kamane me liye me yaha par kuchh simple tarike bata raha hu jinme se kisi bhi tarike ko follow karke ap bhi online paise jarur earn kar payenge.

1. Facebook -
Facebook ek yesa social media platform hai jise bohot sare users use karte hai or ap chahe to Facebook se bhi paise kama sakte hai, Facebook se paise kamane ke liye important hai ki apke achhe followers ya jada se jada friends ho.

       Promotion kya hai online business promotion kaise kare best tips in hindi

Facebook se paisa kaise kamaye -

1. Facebook page sell karke.

2. Groups sell karke.

3. Affiliate links promote karke.

4. Other brand ki post apne page or groups me share karke.

5. Referral links post karke.

6. Apps referral karke.

In sabhi tips ko follow karke ap bhi Facebook se paisa kama sakte hai.

2. Blog/website - 
Yadi apke pas blog or website hai or apke blog or website me achhi traffic hai to ap apne blog or website se bhi online paisa kama sakte hai, it's a very good idea for online earning.

Blog or website se paisa kaise kamaye -

1. Blog or website me Google AdSense ke ads laga kar online earning kar sakte hai.

2. Blog or website me affiliates marketing banner ads laga kar online paisa kama sakte hai.

3. Blog or website me affiliate referral link add karke paisa kama sakte hai.

4. Blog or website me kuchh selected products promote karke paisa kama sakte hai.

5. Product promoting guest post apne blog me publish karke bhi ap online earning kar sakte hai.

Is tarah se ham apne blog or website ki madad se online paisa kama sakte hai.

3. post writing -
Yadi apko writing pasand hai or ap achhi post likh sakte hai to ap kuchh bloggers ke liye post likh sakte hai jiske badle apko paise mil jayenge.


Bohot se yese bloggers hote hai jo apne blog me liye time nahi nikal pate hai ya time nikal kar post nahi likh pate hai is liye kuchh writers se paise dekar post write karate hai yadi apko post writing pasand hai to ap ye work kar sakte hai or paisa kama sakte hai.

Kaisi post write kare -

1. Fully original post write kare.

2. High quality post write kare.

3. Seo friendly post write kare.

4. User friendly post write kare.

Yadi ap in 4 points ko dhyan me rakh kar kisi blogger ke liye post likhenge to apka work unko jarur pasand aayega or apko jada se jada post writing ke liye kaha jayega isse ap or jada paisa kama payenge.

4. Apps -
Ap apps se bhi paise earn kar sakte hai bohot sare yese apps hote hai jinko refer karne ke paise milte hai ap un apps ko join karke or referral link se app ko download karke bhi online paisa kama sakte hai.

Apps referral link share kaha kare - 

1. Ap apps ki referral link ko whatsapp contact and whatsapp group me share kar sakte hai.

2. Apps refferal links ko Facebook groups and pages me share kare.

3. Apps refferal links ko apni website or blog me share kare ho sake to apps ke bare me post bhi likh sakte hai.

Is type se ap apps ko refer karke or apne dosto se download kara kar bhi online paisa kama sakte hai.

Note - 
Kuchh refer karne bale apps fraud bhi hote hai jo paise dene me problem karte hai or kuchh apps achhe bhi hote hai jo achhe se pura paisa pay kar dete hai ab ye apke upar hai ki ap konse apps ko select karte hai paisa kamane ke liye.

5. Video -
Ap video bana kar bhi online paisa kama sakte hai, yadi ap achhe videos banate hai or apke videos audience ko pasand aate hai to ap apne videos se bhi online paisa kama sakte hai.

Video bana kar paisa kaise kamaye -

1. Ap apne videos ko YouTube channel me upload kar sakte hai or channel ko monetize karke paisa bhi kama sakte hai.

2. Ap apne video ko funny videos sites me upload kar sakte hai or paisa kama sakte hai jin par sirf 15 second ka video upload hota hai.

6. YouTube channel -
Yadi apke pas YouTube channel hai to ap YouTube channel se bhi paise kama sakte hai, YouTube channel se paisa kamane ke liye apke channel me achhe subscribers or achhe view aane bohot jaruri hai.

YouTube se paise kaise kamaye -

1. YouTube channel ko google AdSense me monetize karke ap YouTube channel se paise kama sakte hai.

2. Apne channel me sponsor videos upload karke bhi ap paise kama sakte hai.

3. Apne channel me earning app ke bare jankari share karke or apna referral link share karke bhi ap paisa kama sakte hai.

4. Affiliates marketing ke bare me video banakar apna affiliates referral link share karke bhi ap paisa kama sakte hai.

7. Government portal -
Gov. Portals me work karke bhi ap online and offline dono type se earning kar sakte hai. Indian government ke yese portals available hai jinki ap free me id bana sakte ho jese csc, umang portal, digital india, in par register karke ap in portal par ap work karke bhi online or offline paisa kama sakte hai.

       Best Indian government portal info in hindi

Government portals se paise kaise kamaye -

1. Government portal se ap citizens ko government services provide karke ap gov. Portals se commission le sakte hai.

2. Government portal se recharge kar sakte hai.

3. Online forms fill kar sakte hai.

4. Adhar card bana sakte hai or aadhar card update kar sakte hai.


Or bhi bohot sari services apko government portal me mil sakti hai portal me work karke ap achhe paise kama sakte hai.

In sabhi ideas me se kisi ek idea ko select karke ap online work start kar sakte hai or sath hi sath online paisa kamana start kar sakte hai or me apni taraf se ek bat kehna chahunga ap apne work me confused na ho nahi or regularly work karte rahe yadi ap bar bar work change karenge to apke liye online earning karna muskil hoga.

        Google form kya hai or website ke liye form kaise banaye

Friends kaisi lagi ye post batana jarur yadi apko is post se related kuchh puchhna ho to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock