Online Cloud Storage Se Paise Kaise Kamaye

Online Cloud Storage se Paise Kaise Kamaye

Hello friends aj is post me online cloud storage se paise kaise kamate hai iske bare me bata raha hu.


Online paise kamane ke bare me to apne sune hi honge or ho sakta hai kuchh tarike se ap online earnings bhi karte ho or aj me apko is post me online cloud storage se paise kamane ke bare me bata raha hu.


Friends sabse pehle me apko ek bat batana chahunga is post me sirf online cloud se paise kaise kamate hai iske bare me bataunga is post me mai kisi bhi cloud stoarage ka name nahi bataunga cloud storage ki list me next post me launga isme ham sirf cloud storage se paise kaise kamate hai iske bare me janenge.

Isse pehle ki ham cloud storage se paisa kamana sikhe aaiye pehle jan lete hai ki cloud storage hota kya hai taki apko cloud storage ko samjhne me aasani ho.

Cloud Storage Kya Hai -

Mobile computer or pen drive me ham jo data store karte hai vo data store karne ka digital madhyam hota hai  or bat kare cloud storage ki to cloud storage data store karne ka virtual madhyam hota hai. Cloud storage me jo data hota hai vo phone ya computer ke local drive me nahi hota hai mobile or computer ka digital data dusri company ke server me store hota hai jo hamesha online hota hai.

         Social media Ke Liye Funny Or Horror Photo Or Video Kaise Banaye

Jab ham apne mobile ya computer me kisi bhi type ka data store karte hai to data ko store karne ke liye hame space ki jarurat hoti hai usi type se online bhi data storage karne ke liye space ki jarurat padti hai or hame online space, cloud storage company provide karti hai.


Kuchh cloud storage company yesi hoti hai jo data store karne ke liye hame space provide karti hai badle me hamse paise leti hai cloud storage compny hame limited or unlimited dono type ki space provide karti hai.

Jesa ki mene abhi bataya hu ki cloud storage company se hame space buy karni padti hai uske bad ham us par apne data ko store kar sakte hai par dosto apko ek bat or bata du kuchh website yese bhi hoti hai jo hame free space provide karti hai or ham apne data ko free me store kar sakte hai.

         Google account recovery option full info and tips in hindi

Free cloud storage company alag alag type ki ho sakti hai kuchh company free me sirf limited space hi provide karti hai to kuchh company free me unlimited space provide karti hai or ap inka use karke inme free me unlimited data (audio, video, apps, movies)  stor kar sakte hai.

Files Download Kara Kar Paise Kaise Kamaye -

Cloud storage se online earning karne ke liye mene kuchh steps taiyar kiya hu ap un steps ko thik se follow kare to ap bhi online earning jarur kar payenge to chaliye friends start karte hai, let's start.

1. Find Free Unlimited Online Cloud Storage Website -
Online cloud se paise kamane ke liye sabse pehle apko ek yesa cloud storage find (dhundna) padega jo free ho or free me unlimited space (storage) provide karti ho.


2. Create Account Online Cloud Storage Website -
Free cloud storage find karne ke bad ab apko us cloud storage website me apna account register karna padega taki ap kabhi bhi or kisi bhi device se login ho jaye or kisi bhi device me apne data ko access kar sake.

3. Uploading Files -
Account register karne ke bad ab apko cloud storage me apne data (video, audio, apps etc) ko upload karna hoga.

4. Sharing Link -
Ap jo bhi data (file) cloud storage me upload karenge us file ko download karne ke liye apko ek download link milega jisse ap us file ko download kar paye ab apko us downloading link ko apni website ya social media accounts me sahre karna hai ya add karna hai.

5. Downloading Files -
Ab apne apni website or social media accounts me jo downloading link share kiye hai us link par click kar ke apke friends ya website viewers file ko download karna chahiye its most important ki jo link apne share kiye hai usse vo file download ho.

6. Earning -
Jab apki files download hogi to apke cloud storage account me earning add hoti jayegi or jab apke cloud storage account me minimum payout jitna balance ho jayega to ap us balance ko apne bank account, paytm, airtel money, PayPal account me la sakte hai.

        Without mobile number unlimited gmail id create kaise kare

Online storage se paisa kaise kamate hai is post me sirf itna hi share kar raha hu friend, but me jald hi next post me free or best cloud storage ki list launga jisse ki ap un cloud storage ka use kar ke online earning kar payenge so to friends wait kare meri next post ka jo ki jald hi aayegi.


Is type se ham cloud storage me apni files ko upload kar ke or uploaded files ko download kara kar online storage website se paise kama sakte hai to dosto ummid hai ki ap samjh gaye honge ki hame cloud storage site uploading ke nahi balki downloading ke paise deti hai ummid hai apko is post se kuchh new sikhne ko jarur mila hoga.

          Government portal se online paisa kaise kamaye

Friends kaisi lagi ye post batana jarur yadi is post se related apke kuchh questions ho to ap comments me bataye me apke answer dene ki puri kosis karunga yadi apko post achhi lagi to apne friends ke sath share jarur kare next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock