VPN kya hai or VPN use kaise kare

VPN kya hai or VPN use kaise kare

Hello friends aj is post me vpn kya hai or vpn use kaise karte hai iske bare me bata raha hu.


Vpn ke bare me apne kahi na kahi to padhe ya sune jarur honge yadi nahi sune to bhi koi bat nahi me aj apko is post me vpn ke bare me full details me bata raha hu jisse ki ap vpn ke bare me jarur jan apyenge or vpn ko apne smartphone me jarur use kar payenge.


Apne kabhi na kabhi notice jarur kiye honge apko apke android mobile ki setting me vpn ka option jarur dikhai diya hoga or ap ne jarur socha hoga ki aakhir ye vpn ka option kya hai or iska use kaise karte hai to aj me apko simple tarike se vpn ka use karna bataunga jisse ap jarur vpn use kar payenge  par usse pehle ham jan lete hai ki vpn hai kya.

Vpn kya hai -

Vpn ka full name Virtual Private Network hai, vpn ka use apne personal data or privacy ko secure rakhne ke liye karte hai, vpn ek yesa tarika hai jisse ham internet me apna personal data ko safe rakh sakte hai, vpn ka use karke ham internet me secure connection kar sakte or apne device ke data ko hack hone se bacha sakte hai, vpn ka use jada tar internet me secure surfing ke liye kiya jata hai.

Vpn ka use karne se ham internet me jo bhi search karte hai usko safe kar sakte hai kabhi kabhi yesa bhi hota hai hamare internet searching par najar rakhte hai yese me ham vpn use karke apne network providers ko hamari searching ko dekhne se rok sakte hai.


Vpn ka use karke ham yesi website ko bhi open kar sakte hai jo hamari country me band hai ya hamari country ki government ne un website ko block kar diya hai yesi websites ko ham normal connection se open nahi kar sakte hai par yadi ham vpn ka use kare to ham un websites ko bhi aasani se open kar sakte hai.

         Play video in every screen on android mobile in hindi

Bahut si yesi websites hoti hai jinko hamari government hamari country me band kar dete hai ya jo hamare service providers hote hai vo kuchh websites ko band kar dete hai jisse ki ham un sites ko us network ka use karke open nahi kar pate hai par yadi ham open karna chahe to vpn ka use karke aasani se open kar sakte hai.

Friends ab ap vpn ke bare me samjh gaye honge or ap bhi vpn ko use karna chahenge to chaliye dosto start karte hai or apne android mobile me vpn use karte hai.

Vpn use kaise kare -

Apne android mobile me vpn use karne ke liye aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad bhi apne mobile me vpn ka use jarur kar payenge let's start.

1. Sabse pehle ap apne android mobile me play store open kare.

2. Play store open ho jane ke bad ab ap turbo vpn search kare.


3. Ab ap apne mobile me play store se turbo vpn download or install kare.


4. Turbo vpn download or install ho jane ke bad ab ap turbo vpn ko open kare.

        Social media Ke Liye Funny Or Horror Photo Or Video Kaise Banaye

5. Turbo vpn open ho jane ke bad ab ap upar right side me global (earth) icon par click kare.


6. Ab ap yaha par free par click kare.


7. Free par click karne ke bad ab ap select the fastest server par click kare.


8. Ab ap apki screen me fastest server se connecting start ho jayegi.


9. Ab ap 10-15 second wait kare jisse ki ap server se connect ho sake.

          WhatsApp Me Star Album Kaise Banaye

10. Vpn server se connect hone ke bad apki screen me connected dikhai dega or timing show hogi.


11. Ab ap successfully vpn server se connected ho gaye hai.


12. Ab ap internet me aasani se kuchh bhi search kar sakte hai.

Is type se ham apne mobile me vpn connect kar sakte hai or network providers ya government ne band ki hui websites ko bhi open kar sakte hai friends post usefull lagi to share jarur kare.

        Jio sim me DND service start, stop or customize kaise kare

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock